Description:
Music Label: Sony Music India
Lyrics:
Main chala akele raaston pe aise jaise
Mere peeche koi bhi na
Badhta main gaya aise jaise
Mujhe koi bhi na rok saka
Woh dhund rahe dekho manzil
Maine maana raston ko apna jahan
Kabhi koi noch kharoch ke bhaage
Kabhi koi puchhe kya tera pata
Mera jo safar hai
Wahi mera ghar hai
Mujhko na duniya ki hai parwah
Main hoon woh musafir
Chalta rahe jo
Chahe roke toke mujhe koi bhi yahan
Mere jo hain sapne
Wahi mere apne
Mujhko na duniya ki hai parwah
Main hoon woh musafir
Chalta rahe jo
Chahe roke toke mujhe koi bhi yahan
Logo ne bola inn raston pe jana nahi
Khabon ke peeche jaake kuch bhi hai paana nahi
Dekho zamana, main purana hoon musafir
Zindagi aise kaise kal ka thikana nahi
Paya hai jabse khudko
Pani sa main behna chahun
Darta na lehro se main
Badalon mein rehna chahun
Choo lun main aasaman
Sitaron se yeh kehna chahun
Tujhko yeh hai na pata
Mera jo safar hai
Wahi mera ghar hai
Mujhko na duniya ki hai parwah
Main hoon woh musafir
Chalta rahe jo
Chahe roke toke mujhe koi bhi yahan
Mere jo hain sapne
Wahi mere apne
Mujhko na duniya ki hai parwah
Main hoon woh musafir
Chalta rahe jo
Chahe roke toke mujhe koi bhi yahan
Yun to meri bhi subha
Hoti thi kisi khas ke sath
Yun to mere bhi hath mein
Hota tha kisi ka hath
Toofan sa ik aaya tha
Toota main ghabraya tha
Apno ko chheena aise
Main kuch na kar paya tha
Dil ki zuban, dil ki zuban
Keh na saka, keh na saka
Aati abhi, khabon mein bhi
Meri wafa
Mera jo safar hai
Wahi mera ghar hai
Mujhko na duniya ki hai parwah
Main hoon woh musafir
Chalta rahe jo
Chahe roke toke mujhe koi bhi yahan
Mere jo hain sapne
Wahi mere apne
Mujhko na duniya ki hai parwah
Main hoon woh musafir
Chalta rahe jo
Chahe roke toke mujhe koi bhi yahan
Mera jo safar hai
Wahi mera ghar hai
Mujhko na duniya ki hai parwah
Main hoon woh musafir
Chalta rahe jo
Chahe roke toke mujhe koi bhi yahan
Mere jo hain sapne
Wahi mere apne
Mujhko na duniya ki hai parwah
Main hoon woh musafir
Chalta rahe jo
Chahe roke toke mujhe koi bhi yahan
Mera safar…
0 Comments