Description:
Music Label: Sony Music India
Lyrics:
Dil se dil mil gaye hain to
Chahiye phir iss dil ko kya
Jaadu hai mithi baaton ka
Jisne dhadkan ko hi chhu liya
Kavi ki kalpana ya koi aayina
Ya dhundla sapna jisse chehera mil gaya
Ya jaise titli lutaye udde ho mastiyan
Woh taazgi hai jisse phool bhi jale
Chamak se chand bhi dhale
Hai saadgi jaise lori ho koi
Woh jaise chandni khile
Bole bansuri si sabnam sinduri si
Ghul jaye hawaaon mein
Halki baarishon si geheri khwahison si
Itraye adaaon mein
Leharaye jo chunar to jaise nadiyan lage
Sharmili iss umar pe chhaye khusiyan lagi
Bhare jo surma shahid kare soorma kayi
Woh taazgi hai jisse phool bhi jale
Chamak se chand bhi dhale
Hai saadgi jaise lori ho koi
Woh jaise chandni khile
Yovan ke jhadi si malmal ke ladi si
Murat sang marmari
Jharte motiyon si jadte aadaton si
Bijli jaisi manchali
Yugon yugon se Sita ka main Ram banu
Mehandi ki nakasiyo mein chhupa naam banu
Main phir se tham loon
Woh haath wohi hai dua yahi
Woh taazgi hai jisse phool bhi jale
Chamak se chand bhi dhale
Hai saadgi jaise lori ho koi
Woh jaise chandni khile
0 Comments