Description:
Music Label: Tips Official
Lyrics:
Ho kaveriya teri kaya
Ambar sheesh jhukaye
Dharti ke maathe ki rekha dikhe tu
Ithlati balkhati aise chale tu
Veeron ke dere hain tere kinaare
Ghodon ki pyaason ko hain tere dhare
Kaveri se milne chalte hi jaana hai
Shokh chanchal chalte hi jaana hai
Surmai shaam hogi mausam suhana hai
Uska aanchal chalte hi jaana hai
Kheton ke paar chalte hi jaana hai
Unche aabshar chalte hi jaana hai
Nehron ki kataar uska khazana hai
Maati ki pukaar veeron ne jaana hai
Kya pyaare nazaarein hain, semba semba
Dil ko thame hain, ho ho
Faslein sone ke jaisi, sone sone ke jaisi
Kankar moti ke jaise, moti moti ke jaise
Ji kahe yahin rukne, yahin yahin pe ruke
Par manzil aur hai, manzil aur hi hai
Semba re veeron ne jaana hai
Veeron ne jaana hai
Oh kaveri re chalte hi jaana hai
Laali lalla laali lalla
Gaaye woh bulaye mujhe woh
Veeron ki zameen ko chale choomne ko
Seena taan ke jaise teer ke
Yaara rukna na badhta ja
Kaveri se milne, chalte hi jaana hai
Shokh chanchal, veeron ne jaana hai
Surmai shaam hogi, chalte hi jaana hai
Uska aanchal, veeron ne jaana hai
Oh re naaznee, chalte hi jaana hai
Tere sang hi, veeron ne jaana hai
Teri chaah mein, chalte hi jaana hai
Tere rang hi, veeron ne jaana hai
Sona lutaye re sooraj, semba
Chaandi barsaye chanda, semba
Sabz kheton ka jala hai, semba
Atka hai dil mera re, amba
Rukun kaise
Oh oh oh waqt barf ka tukda, semba
Hathon se pighle hai, semba
Farz hai mere zimme re, semba
Hum to ab chalte hain, amba
Yaara re hawaon ke par pe
Dilkashi dilkashi
Milenge hum tujhse to phir kabhi
Dilkashi dilkashi
Abhi to mujhe jaana hai aur kahin
Kaveri se milne, chalte hi jaana hai
Shokh chanchal, uska khazana hai
Surmai shaam hogi, mausam suhana hai
Uska aanchal, apna deewana hai
Oh re naaznee, chalte hi jaana hai
Tere sang hi, chalte hi jaana hai
Teri chaah mein, chalte hi jaana hai
Tere rang hi, chalte hi jaana hai
Kya pyaare nazaarein hain
Veeron ne jana hai
0 Comments