Mann Bawraa Lyrics - Shael Oswal (2022)



Description:


Song: Mann Bawraa
Singer: Shael Oswal
Lyrics: Rashid Khan
Music: Rashid Khan
Music Label: Shael Oswal

Lyrics:


Khali khali dil hai

Dard se bhara

Bechain pal hain

Samjho zara


Khali khali dil hai

Dard se bhara

Bechain pal hain

Samjho zara

 

Khwab ruthe aankhon se

Ab kyun na jaane

Khushiyan paane ko dil

Doondhe bahane

Khushiyan paane ko dil

Doondhe bahane


Mann bawraa hai yeh mann bawraa

Mann bawraa hai yeh mann bawraa

Sunta nahi hai kyun laparwah

Mann bawraa hai yeh mann bawraa


Kaisi kaisi jaane

Umeedein karta hai

Kuch kehne se pehle

Kyun yeh darta hai


Kaisi kaisi jaane

Umeedein karta hai

Kuch kehne se pehle

Kyun yeh darta hai


Dariya se gehra hai

Pyar yeh mera

Phir bhi kare kyun

Intezaar tera

Intezaar tera


Mann bawraa hai yeh mann bawraa

Mann bawraa hai yeh mann bawraa


Bekhayali mein bhi

Khayal rakhta hai

Waqt kyun mujhse

Sawal karta hai


Bekhayali mein bhi

Khayal rakhta hai

Waqt kyun mujhse

Sawal karta hai


Har roz rehta hai

Soch mein khoya

Kabhi hasta hai

Aur kabhi roya

Aur kabhi roya


Mann bawraa hai yeh mann bawraa

Mann bawraa hai yeh mann bawraa

Sunta nahi hai kyun laparwah

Mann bawraa hai yeh mann bawraa

Post a Comment

0 Comments