Description:
Music Label: Munawar Faruqui
Lyrics:
Teri yaad dilaye tera chehra dikhaye
Aisi likh doon ghazal main koi
Main soya ik chain ki neend se
Ab uthna nahi hai mera sapna badle na koi
Tu ho sake to aaye kabhi aaye kabhi aaye
Abhi aaye meri aankhon mein tu thehre to sahi
To din ban jaaye ho samandar mann
Mera uchle magan jaise lehre ho koi
Teri hasrat jo maine ki ishq hua hai pehle bhi
Par din dugna behtar lage aisa hua pehle kabhi, no
Sohbat jo pehle thi, I like the way you picture me
Teri hassi zeenat teri tasveeron mein no-filter please
Dua hai, tu reh hifazat sang mere hamesha hi
Hua hai, beete relationship mein na khush dono hi
Meri khamoshi kehti kya tu bhi bole ishaaron mein
Khwahish kalandar ki leti panaah teri hi aankhon mein
Haan, yaad dilaye tera chehra dikhaye
Mera sab kuch lagta tu hi
Tu ho rahi bechain, dilo mein meri nazam vahi hai
Mera qaafiya radeef bhi tu hi
Tu ho sake to aaye bann hawayein chhuke jaaye
Hum yahan hai meri baahon mein tu thehre to sahi
Yeh mushkile bhi kya hai muskuraye hamnava hai
Mere saaye mere mann mein andhere na koi
Ishq kehte jise falsafe mein humein sab pata hai jaanam
Mera best day hai, teri hasraton mein tujhe kya pata hai jaanam
Rab thak gaya hai meri arziyan bhi sunke likhe yeh aamad
Tera itrr bhi koi kuch keh mujhe de raha ijaazat
Na silah mangta duniya se jo kar loon main tumko haasil
Humnava yahan hain kaafi par tu hi lagta hai kaabil
Main to kar raha ibaadat tujhko rakhein hifazat
Tu shamil hai mujhme aisi aise karti tu zindagi kaamil
Teri yaad dilaye tera chehra dikhaye
Aisi likh doon ghazal main koyi
Main soya ik chain ki neend se
Ab uthna nahi hai mera sapna badle na koi
Tu ho sake to aaye kabhi aaye kabhi aaye
Abhi aaye meri aankhon mein tu thehre to sahi
To din bann jaye ho samandar mann
Mera uchle magan jaise lehre ho koi
Tu karti zid hai, main din deta hoon gin ke
Yeh dooriya bhi sin hai, yeh intehaan hai phirse
Bismil yeh pal hai, tu hi mera safar hai
Tu kar yakeen mera, teri khushi manzil hai
Haan yaad dilaye
Mera sab kuch lagta tu hi
Mera qaafiya radeef bhi tu hi
0 Comments