Sinner Lyrics - King - Khwabeeda (2022)



Description:


Song: Sinner
Album: Khwabeeda
Singer: King
Lyrics: King
Music: Enzo
Music Label: King

Lyrics:


King is in the building


Hathon mein jaam hai

Hum roz peete hain par dil nahi bhara

Jhele nuksaan hain

Par kisi ka chheen apna fayada nahi kara


Hathon mein jaam hai

Hum roz peete hain par dil nahi bhara

Jhele nuksaan hain

Par kisi ka chheen apna fayada nahi kara

 

Qatl-e-aam hai

Jinhone bhi peeche mere vaar hai kara

Mujhpe ilzaam hai

Ke maine phir se saccha pyar nahi kara


Aaj mujhe sab kuch de rahe ho

Kal mujhse sab kuch le loge

Main puchhta rahunga ke galti kya

Par mujhse tum kuch bhi na bologe

 

Bas tabhi main door hi rehta hoon

Dil se hi likhta aur kehta hoon

Ke jo hai bana khud zero se

Usse ab kya hi tum le loge


Ke mere jaisa main bas ek

Main hoon cheez aakhiri

Yeh ghamand nahi hai jaana

Yeh hai baat yaar ki


Ke main chala jo mere sath

Duniya saari chal padi

To woh bhi chhod aa gayi thi

Galiyan apne yaar ki


Jeena haraam hai

Woh gussa hoke kehti raja nahi mila

Yahi anjaam hai

Ke maine phir se saccha pyar nahi kara

 

Hathon mein jaam hai

Hum roz peete hain par dil nahi bhara

Jhele nuksaan hain

Par kisi ka chheen apna fayada nahi kara


Qatl-e-aam hai

Jinhone bhi peeche mere vaar hai kara

Mujhpe ilzaam hai

Ke maine phir se saccha pyar nahi kara


Hum bhi the jhaank rahe

Duniya ko paise se taap rahe

Kal thi dilli wali saath to aaj

Jaipur wali baith ke taak rahe


Kamre ki chaar diwari se hoke

Nikle aaj 5 star naap rahe

After party hoti aisi ke saari

Bandiyon ke munh pe ho baap re


Maano meri rakhna mujhse thoda fasla

Hoga ek hi ishaara chal padega kafila

Be dili bhi kar li maine poori duniya se lada

Jab mere andar ke bhagwan se shaitaan aa mila


Laga di aag bhi

Yeh duniya phoonk gayi par raja nahi jala

Aur uske baad bhi

Woh gussa hoke kehti raja nai mila


Hathon mein jaam hai

Hum roz peete hain par dil nahi bhara

Jhele nuksaan hain

Par kisi ka chheen apna fayada nahi kara


Qatl-e-aam hai

Jinhone bhi peeche mere vaar hai kara

Mujhpe ilzaam hai

Ke maine phir se saccha pyar nahi kara

Post a Comment

0 Comments