Description:
Music Label: Desi Gamers
Lyrics:
Yeah
Abhi Payla
Boon boond se sapno ke
Sagar bhar diye
Dheere dheere dheere khali
Baadal kar diye
Bankar ek din aasman mein
Taara chamkunga
Dekho maa aur pappa maine
Sapne saare sach kar diye
Dekha karta tha khuli ankhon se
Sapne jaag jaag ke raaton ko
Jod jod kismat ki lakeerein
Banata haathon ko
Tha waqt bura jo badal diya
Aur badal diya halaton ko
Chupa ke rakha maine har gham apna
Aur saare jazbaton ko
Jo negative meri soch kare
Miti mein mila diya baaton ko
Mujhe kisi baat ki fikar nahi
Agar bhai mera mere saath ho tu
Zero se kari thi shuruwat
Ab stream karun main lakhon ko
Mere aas paas bas khaas khaas
Kuch yaar dost ae
Baaki duniyadari se mujhko
Lena dena nahi ae
Shuruwat se chala main
Bankar one man army
Mere aage picche chalne waali
Sena nahin ae
Shuruwati dino mein ek dost mila
Ajju bhai hai saath ab bhi
Kabhi mile jo tumse to poch lena
Jaise tha kal main aaj ab bhi
Mujhe motivate kare har woh like
Dil se aap jo karte ho
Mere fans nahin mere bhaiyo ke liye
Pyar waali jhappi pyar wali jhappi
Boon boond se sapno ke
Sagar bhar diye
Dheere dheere dheere khali
Baadal kar diye
Bankar ek din aasmaan mein
Taara chamkunga
Dekho maa aur pappa maine
Sapne saare sach kar diye
Darjeeling ki hai pedaish
Aur siliguri mein pala badha
Log kehte the chote ghar ka ladka
Kyun dekhe sapna bada
Din dugni raat chogni wali
Baatein sach hone lagi
Woh jitne jalte rahe mujhse
Main utna hota gaya bada
Maine bura kisi ka nahi kara
Na kabhi apna hone diya
Bhare ankhon mein aansu kayi dafa
Par khud ko kabhi naa rone diya
Dil saaf rakha main gira nahi
Baki jo huya woh hone diya
Main seejta raha beej ko tab tak
Jab tak sahi se boh na diya
Main ruka nahi badhta chala
Aag ki tarah har baar jala
Main khud yaha tak nahi aaya
Mujhse haath pakad kar layi kala
Uss parwardigar ka naam liya
Na kabhi kisi ki mangi salah
Mahadev ki drasti pade to
Banda kaise ruk jaaye bhala
Papa ne sikhaya shaan se jeena
Maa ne diye mujhe sanskaar
Content rakha maine saaf shudh
Vicharon ka kara na vyapaar
Log khush nahi khud ki tarakki se
Kaise woh insaan yaar
Unki jeet se zyada
Shor machaye meri haar
Shor machaye meri haar
Shor machaye meri haar
0 Comments