Jeena Abhi Baaki Hain Lyrics - Sonu Nigam, Yajat Garg, Rudra Sharma (2022)



Description:


Song: Jeena Abhi Baaki Hain
Singer: Sonu Nigam, Yajat Garg, Rudra Sharma
Lyrics: Dinesh Pant
Music: Anuj Garg
Music Label: Sony Music India

Lyrics:


Baaki hai

Haan baaki hai

Jeena abhi baaki hai


Aankhein hai to aanshu honge hi

Ro le khul kar

Ponchh aansun magar

Kyunki


Aaj ki kahani ka chamakta hissa

Kal aana abhi baaki hai

Hansa abhi baaki hai

Jeena abhi baaki hai

 

Pooja mein azaanon mein

Ansun aur muskano mein

Choti choti baaton mein

Jeene ke bahane hai


Hawaon ne kaha phir

Lautengi baharein

Yeh to jeevan ke mausam

Aane aur jaane hai

 

Seekh le bande guzre kal se

Jod le dhage agle pal se

Kitni bhi gehri ghani ho yeh raat

Rok paye na kabhi yeh savera


Haarega haarega haarega andhera

Haarega haarega haarega andhera


Himmat ki palkon pe khwab sunhera


Haarega haarega haarega andhera

Haarega haarega haarega andhera


Pet ko jawab dena hai

Bhookh ka hisab lena hai

Maaon ke khali ho gaye hain jo aanchal

Dard ko unke naya ek khwab dena hai


Jin kimaton ne tod di reedh ki haddiyan

Ghar ki rasoiyan

Aisi zindagi se byaj lena hai

Mayusi ko harana baaki hai

Ghutno par wakt ko tikana abhi baaki hai

 

Lautna hai wapis makano mein

Ummedon se kaam lena hai

Udharon mein jo thak gaye hain kandhe

Paseeno se tarr kamizon ko utar dena hai


Pyar ghate mein hai

Pyar ko kuch naya vyapaar dena hai

Gale lagna hai kaskar

Gale lagana abhi baaki hai


Dard bankar aankhon se

Beh jaana abhi baaki hai

Jeena abhi baaki hai


Aas mein vishvaas mein

Hai raste nirale

Khoj lenge ghum huye jo

Apne ujale


Kirno ki god mein

Khilti albeli bor hai

Ho kirno ki god mein

Khilti albeli bor hai


Umeedon ka suraj

Hathon mein ugale


Tooti bikhri jo tasveerein hai

Unko bhi to jodte jaana hai

Oh roothi jinse yeh takdeerein hain

Unko bhi to saath nibhana hai

Unka bhi to saath nibhana hai


Kahe ka darna jab

Hum saath hain pyare

Thandi chhavn se

Yeh ho jaaye angaare


Kahe ka darna jab

Hum saath hain pyare

Thandi chhavn se

Yeh ho jaaye angaare


Panchiyon ne bhi aasma se kaha

Chhat jayega yeh baadal ghanera


Haarega haarega haarega andhera

Haarega haarega haarega andhera


Himmat ki palkon pe khwab sunhera


Haarega haarega haarega andhera

Haarega haarega haarega andhera


Haarega haarega haarega andhera

Haarega haarega haarega andhera


Mat haar lad muskura sar utha

Kyunki hasna abhi baaki hai

Jeena abhi baaki hai

Post a Comment

0 Comments