Description:
Music Label: King
Lyrics:
Tu phirse paas aa
Main zidd nahi karunga
Tu phirse door ja
Main kuch nahi kahunga
Jo tere jaane se main
Betha hoon mekhane mein
Main kha chuka hoon dhoka
Peene se nahi marunga
Jo tujhse seekha hoon
Tujhi pe to likhunga
Jo tujhko chahunga
Tujh hi pe to mitunga
Jo haske aunga main
Phir se tere samne
Hoon napasand bata diyo
Main phir nahi dikhunga
Maine dekha tujhme
Saadgi rahi nahi
Maine dekha tune
Koshishe bohot kari
Kahe jo tujhko apne
Hathon se saja doon
Hai kami tu pehne bohot
Phir bhi lagta kyun saji nahi
Aaj bhi aise dekhe
Maine dayare nahi
Ke tujhse baant loon
Main khudko keh doon
Aa rahe nahi hai tumse milne
Bewafa hi the jo
Haske keh diya
Ke hum bhi dhokhe
Kha rahe nahi
Jo phirse dekha meri
Ruk chali kalam thi
Dil dhadakta, aankhen bheegi
Baatein tang thi
Jo tujhko socha mera
Poora ek janam thi
Jab tujhko dekha
Kisi aur ki sanam thi
Dil to dukhta hai par
Jeena padhta hi hai
Suraj se chand bhi
Akele ladhta hi hai
Main kitna bhoolun kissa
Tera adta hi hai
Jo kardein faasla to
Pyar badta hi hai
Gaane to chal rahe par
Baat teri meri hai
Chirag bujh gaye
Par raatein teri meri hai
Hua woh ek na jo
Sath janam ka wada tha
To iss sadi mein jana kya
Aukat teri meri hai
Mana main sab hi kuch
Jeeta kuch bhi hara na
Par jisko hara usko
Dekha phir dobara na
Jo dhas gaya hoon jaake
Raet mein main aankhon tak
Tu hai samundar mujhpe
Boond ka sahara na
Na mujhse pooch
Mere haal kya sitaaro ka
Na dum tu kha yeh aake
Noton ki deewaro ka
Hai paisa kya tu
Choti baatein na kiya kar
Main bas pyar se gareeb
Mujhko mol na hazaro ka
Jo mujhse pooch le tu
Raasta baharon ka
To haske keh doon
Tu nazara meri aankhon ka
Main jisko kosne chala hoon
Uska naam yaad phir bhi
Likh na pana dosh
Kaam hai gawaron ka
Jo tujhko dekha
Aasma mein chand tha nai
Kahin pe chhup gaya
Ke kehta lagta nahi
Isse haseen maine
Dekha kahin kuch ke log
Yun hi likhte rehte mujhpe
Aye khuda main chand nahi
Yeh tere reshmi
Jo baal jaalsaazi hain
Mara nahi par
Jeete ji tu meri faansi hai
Daba nahi gala kyun
Saanse meri ghut rahi
Main kya hi doon saza
Ja teri har saza hi maafi hai
Mujhe khabar nahi
Tu kis zuban mein raazi hai
Dikhe asar nahi
Tu kis dua mein baaki hai
Agar kabhi main
Tere samne se guzrun
Mujhko mil tu ya nahi
Par teri ek nazar hi kaafi hai
Ektarfa main
Naam bhi bana lunga
Ektarfa main
Naam bhi chhupa lunga
Ek arsa jo beete
Teri yaado mein
Main hoke mashhoor
Tujhpe zindagi luta dunga
0 Comments