Ek Siwa Tere Lyrics - Mohammad Irfan - Mushkil (2019)



Description:


Song: Ek Siwa Tere
Movie: Mushkil
Singer: Mohammad Irfan
Lyrics: Anjaan Sagri
Music: Vardan Singh
Music Label: Zee Music Company

Lyrics:


Ek siwa tere

Main kya sochun

Ab siwa tere

Main kya dekhun


Tu mujhme itna bikhara hai

Rooh tak tu meri utra hai

Meri chahat ka yeh wada hai

Tu mujhme mujhse jyada hai

 

Ek siwa tere

Main kya sochun

Ab siwa tere

Main kya dekhun


Tu mujhme itna bikhara hai

Rooh tak tu meri utra hai

Meri chahat ka yeh wada hai

Tu mujhme mujhse jyada hai

 

Bekhudi ka tu sahara

Ban gaya hai inn dino

Tu tasalli ka kinara

Ban gaya hai inn dino


Ab tujhe paake

Main kya chahun

Bas tera hoke

Jeeye jaaun


Tu meri subah ka taara hai

Khali raaton ka guzara hai

Meri chahat ka yeh wada hai

Tu mujhme mujhse jyada hai


Meri har ek saans teri

Saans ab judd gayi

Behte behte meri dhadkan

Teri tarfa mudd gayi


Main tera saaya

Sada paaun

Khud mein kuch har pal

Main aa paun


Dil fida tujh par hamara hai

Teri khatir sab gavara hai

Meri chahat ka yeh wada hai

Tu mujhme mujhse jyada hai

Tu mujhme mujhse jyada hai

Post a Comment

0 Comments