Description:
Music Label: Voilà! Digi
Lyrics:
Ek din jo na dekhun
Lage arsaa ho gaya
Tere naam zindagi ka
Har lamha ho gaya
Begani duniya ab lage
Kahin bhi na mann lage
Ke bas teri raahein dhoondta
Hoon mein har jagah
Jo gham the yeh dil ke
Tujhse milke ab kam lage
Jo door hui nazron se
Main tanha ho gaya
Ek din jo na dekhun
Lage arsaa ho gaya
Laakhon haseen chehre duniya mein par
Ik tere hi bas chehre se nazrein nahi hat’ti
Dil bhi mera ik sunta nahi meri
Tera hua yeh deewana dass kiski hai galti
Dil kare roz milun ab raha na sabar
Teri bas yaad sath sab tera hai asar
Duniya ki sab khushiyan main teri kar doon
Ve tere liye kabhi na main chhodun koi kasar
Besabar hai sharab bhi ab beasar
Mere jazbaaton se tu kyun hai bekhabar
Mera pyar na bayaan hona lafzon mein
Tujhsa na yaar ve naseeb hona arson mein
Mera yaaron ke aage
Ab tera charcha ho gaya
Ek din jo na dekhun
Lage arsaa ho gaya
Ek din jo na dekhun
Lage arsaa ho gaya
Sab khona manzoor jo tu mil jaaye
Dare dil umeedon pe kahin paani na phir jaaye
Chehra tera dekhne ko tarsi yeh aankhein
Har gham bhool jaaun jab bhi tu muskuraye
Din dhale ve tujhe dekhne ko dil kare
Ghabraye yeh mann jo na aake tu mile
Khamiya bhi teri lagti haseen
Aa thaam mera haath khatam kare ab gile
Khaali si yeh zindagi tu hi hai ab har khushi
Jab saath tere hota na tab sath deti bekhudi
Har taara mere pyar ka gawaah ho gaya
Tujhe dekhe bina lage arsaa ho gaya
Tha uljhano mein main
Suljha tujhko paa kar hi
Hoti kya hai dillagi
Sikhaya tune aa kar hi
Yeh dil bhi ab to har pal
Mujhe aajmane laga
Meri nahi sunta ik bhi
Apni chala ne laga
Kyun rab se bhi ab upar
Tera darja ho gaya
Ek din jo na dekhun
Lage arsaa ho gaya
Ek din jo na dekhun
Lage arsaa ho gaya
0 Comments