Description:
Music Label: Young Stunners
Lyrics:
Khud se bhi mila karein
Sar utha ke chala karein
Khuda ke tareeke hum nahi samajh sakte
Hum usse kya gila karein
Duniya sang dil banti meri dushman
Hum kama-z-kam khud se hi sulah karein
Kam bola karein zyada suna karein
Rab deta hai maafi phir gunaah karein
Yeh taqaat thikaane badal sakti
Qalam ki taaqat takhat bhi palat deti
Likhaari jaan leva hoon
Par likhayi hi roj ab jeene ka sabab deti
Warna zindagi mauke to kam deti
Mehfilo mein to ronak bhi humse thi
Idhar hustle karte karte poora din gaya
Urdu rap mein
Urdu rap mere bin kya
Facts hain yeh flex nahi
Mujhe Ghalib jaisa likhne ka faiz nahi
Wo habib hai mere to mujhse door kyun
Woh hareef hai mere to unki khair nahi
Aaj kal bheje mujhe text sab
Whatsapp pe they wanna know what’s up
Meri zindagi kitno ki hasrat
Main misaal mera naam lete maslan
Dil phenk ke na dil todd
Billboard pe ab dikhe shakal inko
Mera bank balance lagta tha pin code
Ab safar dekh sirf sifar gin tu
Aye, I belong here
Jaane ka mood nahi hai
Headliners hum
Teri koi news nahi hai
Kya woh sunte par karte mehsoos nahi yeh
Waade toote par toote asool nahi yeh
Jo bhi hustle thi gayi woh fuzool nahi hai
Lekin duniya to faani hai, bhool nahi yeh
Hum fanaa huye iss fanoon ki khaatir
Pagalpan ki hadd tak junoon bhi hai
Tum subh rakh lo
Main shab rakhta hoon
Main jalwa jalaal aur karb rakhta hoon
Iss hi dil mein rakhta hoon dard apno ka
Dil ka ek khaana ab sard rakhta hoon
Zarurat aur khwahish mein farq rakhta hoon
Hisaab se lafzo mein harf rakhta hoon
Dildaar hoon main bada par dil shikasta hoon
The joke is on you, main tum pe hassta hoon
Sehma tha dil par tha yaqeen
Ladkhadate kadam par rasta wohi
Siyaahi mein doobi zindagi to seekha udna tabhi
Aazma le
Zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le
Dekhegi duniya sabhi
Aazma le
Zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le
Dekhegi duniya sabhi
Baatein yeh mukhtasar
Main karta raha mustaqil
Nahi hote mushtamil
Kahani yeh mukhtalif
Yeh khwaab huye muntaqil
Kaghaz mushta’il
Urdu rap aur main uska dil
Munafiq jo munfa’il
Log muntazir the iss qadar
Phir kis ka darr
Hum muntakhab
Sab muntashir
Jab chunte lafz
Ab sunte sab
Yeh khush khabar
Jo bad-nazar
Woh darguzar
Yeh dhun pakad
Kyun be-sabar
Kyun be-asar
Tu le sabaq
Ab befikar yeh sher arz
Maut par ho beshtar
Ho der jab to be-adab
Yeh khel ab
Lagta namumkin
Main aur mere khwaab
Jeena chahta hoon main khul ke
Qalam yeh azaad
Yahan nizaam saare ulte
Lagi jaise aag
Shehar baarishon mein dhulte
Dil mein ho dard
Jab yahan kalakaar rulte
Zindagi paheli
Bujho jaano kitne uljhe
Andhere mein chiraag
Jaise hi yeh lehja sulge
Kate mere par
Phir bhi jaane kaise udte
Mujhe udne de
Toote jo dil woh aaj judne de
Inn aankhon ko khushiyon se bharne de
Alfaaz mere dil mein utarne de
Manzil to khush ho thehrne pe
Yeh ghar mera jadd ko na marne de
Ubhrenge suraj yeh dhalne de
Waqt lage khud ko balalne mein
Magar waqt yeh badalta hai
Safar yeh taveel beshak nange pair chalta reh
Chubhe pade qeel
Khuda zakhmo ko bharta reh
Khud pe yaqeen hai to
Zamaane se ladta reh
Tha hi na kuch khone ko
Har ek gully har ek kone ko
Main karta hoon mutaasir
Apni baaton se chal hone do
Jo so rahe the sone do
Main likhne baitha paune do
Raatein na mili sone ko
Inn khwabon ko pirone do
Dekha tha jo kal woh to
Jee raha hoon aaj main
Likhe asal haadse
Saare bane hain khaak se
Jaana hai humne khaak mein
Yeh ilam mera baant de
Nahi koi bade baap ke
Hai fakhar apne baap pe
Aaj bhi iss shayari mein saadgi
Jazbaat bhi aur yeh ehsaas bhi
Hai sabar ka phal meetha aaj bhi
Yeh hunar dil’on ki awaaz bhi
Sehma tha dil par tha yaqeen
Ladkhadate kadam par rasta wohi
Siyaahi mein doobi zindagi to seekha udna tabhi
Aazma le
Zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le
Dekhegi duniya sabhi
Aazma le
Zakhmon ko tu apna le
Mashal tu dil ki jala le
Dekhegi duniya sabhi
0 Comments