Aatish Lyrics - Sajjad Ali (2022)



Description:


Song: Aatish
Singer: Sajjad Ali
Lyrics: Sajjad Ali
Music: Ahsan Pervaiz Mehdi
Music Label: Sajjad Ali

Lyrics:


Hum to hain aatish aatish

Hum to hain aatish aatish

Ke hum to hain aatish aatish

Hum to hain aatish aatish


Sulagte rehna hai

Dehkate rehna hai

Jahaan ki nazron mein

Khatkate rehna hai


Baras jaana hai banke

Aag ki baarish baarish


Hum to hain aatish aatish

Hum to hain aatish aatish

Aag ki baarish baarish

Ke hum hain aatish aatish


Aatish aatish haan

Aatish aatish haan


Bhujha ke rakh denge

Roshni taaron ki

Mita ke rakh denge

Yaad dildaaron ki


Chaman bhi dekhega

Tamasha jalne ka

Udake rakh denge

Mehak gulzaron ki

 

Baharon mein bhi, oh ho ho

Baharon mein bhi hogi

Fiza ki saazish saazish


Hum to hain aatish aatish

Hum to hain aatish aatish

Aag ki baarish baarish

Ke hum hain aatish aatish


Aatish aatish haan

Aatish aatish haan


Dilon ki dhadkan mein

Basake rakhna tha

Tumhe deewano se

Bacha ke rakhna tha


Aakhiri saansein bhi

Nichhawar karni thi

Tumhe dil ke ghar mein

Saja ke rakhna tha

 

Reh gayi dil ki, oh oh

Reh gayi dil ki dil mein

Bas yahi khahish khahish


Hum to hain aatish aatish

Hum to hain aatish aatish

Aag ki baarish baarish

Ke hum hain aatish aatish


Sulagte rehna hai

Dehkate rehna hai

Jahaan ki nazron mein

Khatkate rehna hai


Baras jaana hai banke

Aag ki baarish baarish


Hum to hain aatish aatish

Hum to hain aatish aatish

Aag ki baarish baarish

Ke hum hain aatish aatish


Sulagte rehna hai

Dehkate rehna hai

Jahaan ki nazron mein

Khatkate rehna hai


Baras jaana hai banke

Aag ki baarish baarish


Hum to hain aatish aatish

Hum to hain aatish aatish

Aag ki baarish baarish

Ke hum hain aatish aatish


Aatish aatish haan

Aatish aatish haan


Post a Comment

0 Comments