Hum Do Hamare Do - Dialogue (2021)

 1. Har ek vyakti ko apna jeevan saathi, apna khana aur apni sharaab chun'ne ka poora adhikaar hona chahiye


2. Yeh zindagi ke highway pe bahut sari gaadiyan daudti rehti hai ... tu kisi ko rokega toh ruk jayegi ... lift maangega toh mil jayegi ... aur jagah nahi hogi na toh bhi adjust karke bhita denge ... lekin yeh joh family wali gaadiyan hoti hai na ... woh saale rokte nahi hai ... lift bhi nahi milti hai ... jagah hogi toh bhi andar behetne nahi denge


3. Ghar khareedne se pehle na do baar dekh lena chahiye ... ek baar din mein, ek baar raat mein ... din mein joh hai na woh ghar samajh aata hai ... aur raat mein mohalla samajh aata hai


4. Yeh rishtey bahut nazuk hote hai ... unhe jhooth ki buniyaad pe nahi banana chahiye ... ek baar toot jaye toh phir jodna bahut mushkil hota hai

Post a Comment

0 Comments