Chehre - Dialogue (2021)

 1. Hamari adalaton mein justice nahi, judgement hota hai ... insaaf nahi, faisla hota hai


2. Aaj imaandaar woh hai jiski baimaani pakdi nahi gayi ... aur begunah woh hai jiska jurm pakda na gaya ho


3. Hamara kanoon andha hai ... issi liye hamara insaaf bhi andha hai ... hum sochte kuch aur hai aur hum karte kuch aur hai ... kanoon sunta kuch aur hai aur insaaf karta kuch aur hai


4. Har ghadi chashm-e-kharidaar mein rehne ke liye ... kuch hunar chahiye bazaar mein rehne ke liye ... badnaami se shohrat ka woh rishta hai ke log ... nange ho jaate hai akhbaar mein rehne ke liye


5. Imaandaar woh hai jisse baimaani karne ka mauka na mila ... aur begunah woh hai jisse jurm karne ka mauka na mila


6. Hona ek din sabka hisaab hai ... zindagi karamo si likhi ek kitaab hai


7. Mehfil mein jalate hai diya doosre log ... lete hai ujalon ka maza doosre log ... mujrim kabhi pakde nahi jaate ... lekin paate hai adalat se saza doosre log


8. Is duniya mein koi bhi banda aisa nahi hai ... jisne apni life mein koi apradh nahi kiya ho


9. Kanoon sirf kanoon hai ... ya toh toda jayega, ya paala jayega ... lekin har surat mein maana jayega


10. Insaaf kagaz ke tukdon par nahi hota hai ... aapke kitaabon mein nahi hota hai ... adalati kalam ki siyahi se woh nahi hota hai ... insaaf hota hai insaano ke dil par, unke zehan par, unki rooh par


11. Vyavastha se gunehgar bante honge ... lekin gunahon ko vyavastha ki pratishtha dene ka kanoon ko koi haq nahi hai ... gunah ki vyavastha nahi ho sakti


12. Gunah jitna bhi sangeen ho, saza bhi utni hi sangeen honi chahiye ... gunehgar jitna bereham ho, insaaf bhi utna hi bereham hona chahiye


13. Nyay agar jeevan ka adarsh hai ... insaaf agar hamare samvidhan ka maulik adhikar hai ... toh phir usse vyavastha, parampara aur paristithiyon ka ghulam mat banaiye


Post a Comment

0 Comments