Description:
Movie: Darr
Music Label: YRF
Singer: Lata Mangeshkar, Kavita Krishnamurthy, Pamela Chopra
Lyrics: Anand Bakshi
Music: Shiv-HariMusic Label: YRF
Lyrics:
Meri maa ne
Meri maa ne laga diye
Solah button meri choli mein
Mere babul
Oh mere babul tu ab jaldi se
Bitha de mujhe doli mein
Meri maa ne laga diye
Solah button meri choli mein
Mere babul
Oh mere babul tu ab jaldi se
Bitha de mujhe doli mein
Mere babul tu ab jaldi se
Bitha de mujhe doli mein
Meri payal mein satara ghungru
Main satra saal ki huyi
Yahi to woh
Oh yahi to woh umar hai jisme
Ke Sohni Mahiwal ki huyi
Yahi to woh umar hai jisme
Ke Sohni Mahiwal ki huyi
Mere hatho
Mere hatho
Mere hatho mein atharah chudiyan
Main chham chham nachdi phiraan
Pichhe picche
Ho pichhe picche meri laaj nighodi
Main agge agge nassdi phiraan
Oye balle balle balle balle balle
Pichhe picche meri laaj nighodi
Main agge agge nassdi phiraan
Jhoothi daadhi pe muchh lagake
Daga woh beiman de gaya oye
Aaya banke
Ho aaya banke gali ka darzi
Kameez ka woh naap le gaya
Aaya banke gali ka darzi
Kameez ka woh naap le gaya
Kaise de doon haye
Kaise de doon de doon
Kaise de doon main dil tujhe sajana
Yeh dil hai rumaal to nahi
Kaise le loon
Kaise le loon main tere kangna
Kahin yeh koi chaal to nahi
Koi ladka pasand nahi aaya
Ke bas maine na kardi
Naam uska
Naam uska magar jab aaya
To phat maine haan kardi
Oye shava shava shava
Kaise jaaun sajan se milne
Main kaise ikraar kar lun
Sab puchenge
Ho sab puchenge aayi kahan se
Bahana taiyar kar loon
Sab puchenge aayi kahan se
Bahana taiyar kar loon
Mere nainon ke teer kamaan se
Churake saare teer le gaya
Main naha ke talaab se nikali
Woh meri tasveer le gaya
Kuch de ke kya
Kuch de ke usse tu wapas
Woh teri tasveer mang le
Aisa na ho
Aisa na ho ke chaurahe pe
Woh teri tasveer taang de
Aisa na ho ke chaurahe pe
Woh teri tasveer taang de
Mujhe sakhiyon
Mujhe sakhiyon
Mujhe sakhiyon aise na nachao
Ke yeh hai sasural meri
Mere lehnge mein
Ho mere lehnge mein ghungru lagaun
To phir dekho chaal meri
Mere lehnge mein ghungru lagaun
To phir dekho chaal meri
Meri maa ne laga diye
Solah button meri choli mein
Mere babul
Ho mere babul tu ab jaldi se
Bitha de mujhe doli mein
Mere babul tu ab jaldi se
Bitha de mujhe doli mein
0 Comments