Kyun Na Aaye Lyrics - Pranav Vatsa (2022)

 Description:


Song: Kyun Na Aaye
Singer: Pranav Vatsa
Lyrics: Pranav Vatsa
Music: Vivian Richard
Music Label: Zee Music Company

Lyrics:


Main dekhun jahan har kahin

Pyar hi pyar hai

Ek tu hi nahi mere paas

Aisa kyun yaar hai


Pyar barasne ka mausam hai yeh

Aur baahein meri murjhaye jaaye

 

Tu aaye aaye kyun na aaye

Kyun aise mujhe tu sataaye

Tu aaye aaye kyun na aaye


Main jee loon tumhe fir zara

Saanson mein aag hai

Aakhiri tu hi hai wajah

Aur kya khaas hai


Khwab sanwarne ka mausam hai yeh

Aur neendein meri door jaayein jaayein


Tu aaye aaye kyun na aaye

Kyun aise mujhe tu sataaye

Tu aaye aaye kyun na aaye


Kyun aashqui mein do dil jale hain

Aankhon mein kyun aayi hai naami

Tanhaiyon mein khone lage hain

Yaadon mein tu meri har kahin


Tere jaane se teri khabar tak

Mujhko hai roz jalaye jaye


Tu aaye aaye kyun na aaye

Kyun aise mujhe tu sataaye

Tu aaye aaye kyun na aaye


Jab tak tumhari khushboo

Meri saanson mein hai

Main zinda hoon


Jab talak mere ghuzarte hue lamhon mein

Tumhari yaadein baatein mulakatein

Tab talak main zinda hoon

Post a Comment

0 Comments