Description:
Lyrics:
Iss nakli si duniya mein
Zara sa bhi ab mera mann na lage
Mann na lage
Pyar itna kar yaar mere
Mujhe kam na lage
Kam na lage
Gham itna pee chuki
Mujhe ab koi gham na lage
Gham na lage
Mujhme aake mil ja tu aise
Hum hum na lage
Hum na lage
Hoon bheed mein bhi
Tanha si main
Hoon main akeli si
Aake mujhe tu suljha de
Main ek paheli si
Koi jaadu sa mujhpe chala de
Mujhe taaron ki sair kara de
Rehke hosh mein kya hi karungi
Aaja mere hosh uda de
Koyi jaam tu aisa peela de
Mere khoon mein kuch tu mila de
Rehke hosh mein kya hi karungi
Aaja mere hosh uda de
Mere kaan mein aake kehti mujhe
Ek talab si uthti rehti mujhe
Main besabri si ho gayi hoon
Main bekadri si ho gayi hoon
Meri aankhon mein tu kajal bhar de
Barsungi main baadal kar de
Sun’ne mein aaya tu pagal hai
Mujhko bhi tu pagal kar de
Mere aankhon se aansun gira de
Mujhe poori ki poori hila de
Rehke hosh mein kya hi karungi
Aaja mere hosh uda de
Koi jaam tu aisa peela de
Mere khoon mein kuch tu mila de
Rehke hosh mein kya hi karungi
Aaja mere hosh uda de
Iss marz ki dawayi chahiye
Tu ragon mein samayi chahiye
Jahan jo likhun bas tera naam likhun
Aisi likhne wali siyahi chahiye
Khuda hai to khudai chahiye
Ya iss jism se rihaai chahiye
Tu hai to main hoon yakeenan
Nahi to mujhe iss wajood ki
Tabaahi chahiye
0 Comments