Parde Mein Koi Baitha Hai Lyrics - Mohammed Rafi, Shailendra Singh - Dada (1979)

 Description:


Song: Parde Mein Koi Baitha Hai
Movie: Dada
Singer: Mohammed Rafi, Shailendra Singh
Lyrics: Asad Bhopali
Music: Usha Khanna
Music Label: Saregama India Ltd

Lyrics:


Bemurawwat tumhe

Samjhenge zamane wale

Humse phero na nazar

Dil ko churane wale


Aaye bhi ho to khiche baithe ho

Khanjar ki tarah

Taaki kat’te rahein seene se lagne wale


Parde mein koi baitha hai parda karke

Parde mein koi baitha hai parda karke

Allah main sadke jaun aisi nazar ke

Allah main sadke jaun aisi nazar ke


Kyunki parde mein parde mein

Parde mein parde mein

Parde mein koi baitha hai parda karke

Parde mein koi baitha hai parda karke


Parde pe parda chilman pe chilman

Jaise chhupi ho ghunghat mein dulhan

Parde pe parda chilman pe chilman

Jaise chhupi ho ghunghat mein dulhan


Tujhsa mehboob meri jaan zamane mein nahi

Jo batane mein maza hai woh chupane mein nahi


Dekhenge hum bhi

Chhupta hai kab tak

Koi bachake yun humse daman


Tutega parda chhutega parda

Nazre milenge dil dhadkenge

Pyar ke shole phir bhadkenge


Dekhenge dekhenge dekhenge dekhenge

 

Dekhenge apne jaani ko ji bhar bhar ke

Dekhenge apne jaani ko ji bhar bhar ke

Allah main sadke jaaun aisi nazar ke

Allah main sadke jaaun aisi nazar ke


Kyunki parde mein parde mein

Parde mein parde mein

Parde mein koi baitha hai parda karke

Parde mein koi baitha hai parda karke


Raaz ki baatein kehna hai tumko

Raaz ki baatein kehna hai tumko

Dil mein humare rehna hai tumko


Apne jalwe meri nazaro pe lutana hoga

Aaj to tumko mere samne aana hoga


Darde jigar bhi mithi kasak bhi

Phir hass hass ke sehna hai tumko


Kitna bachaoge kitna bachaoge

Mera tumhara samna hoga

Hathon se dil ko thamna hoga


Milte ho milte ho milte ho

Milte ho apne yaaro se kyun dar dar ke

Milte ho apne yaaro se kyun dar dar ke


Allah main sadke jaun aisi nazar ke

Allah main sadke jaun aisi nazar ke


Kyunki parde mein parde mein

Parde mein parde mein

Parde mein koi baitha hai parda karke

Parde mein koi baitha hai parda karke

Post a Comment

0 Comments