Niyat E Shauq Lyrics - Prithvi Gandharv (2022)

 Description:


Song: Niyat E Shauq
Singer: Prithvi Gandharv
Lyrics: Nasir Kazmi
Music: Deepak Pandit
Music Label: Sufiscore

Lyrics:


Niyat e shauq bhar na jaaye kahin

Niyat e shauq bhar na jaaye kahin

Tu bhi dil se utar na jaaye kahin

Niyat e shauq bhar na jaaye kahin


Aaj dekha hai tujhko der ke baad

Aaj ka din guzar na jaaye kahin

Tu bhi dil se utar na jaaye kahin

Niyat e shauq bhar na jaaye kahin


Na mila kar udaas logo se

Na mila kar udaas logo se

Husn tera bikhar na jaaye kahin

Tu bhi dil se utar na jaaye kahin


Aarzoo hai ke tu yahan aaye

Aarzoo hai ke tu yahan aaye

Aur phir umar bhar na jaaye kahin

Tu bhi dil se utar na jaaye kahin

Niyat e shauq bhar na jaaye kahin

Post a Comment

0 Comments