Description:
Music Label: Saregama India Ltd
Lyrics:
Hum sabko nek raah
Chalana mere allaah
Bandon ko buraai se
Bachana mere allaah
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Ik vakaya sunati hoon
Main apni zubani
Apne badon se maine
Suni hai yeh kahani
Rehta tha kisi shehar mein
Ik aisa bhi insaan
Jo naam ka muslim tha
Magar kaam ka shaitaan
Zaalim ko zor-e-baazu
Pe apne gurur tha
Yaani ke bekhudi mein
Khuda se woh door tha
Sab log usse kehte the
Jallaad sitamgar
Masoom ki fariyaad ka
Uspe na tha asar
Jo wada usne kar liya
Woh kar ke dikhaya
Paison ke liye qatl
Kiye khoon bahaya
Ik din woh behta khoon
Asar uspe kar gaya
Insaan zinda ho gaya
Shaitaan mar gaya
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Imaan jisse kehte hain
Farmaan-e-khuda hai
Quran ke har lafz mein
Uski hi sadaa hai
Allaah ne bakshi hai
Jo imaan ki daulat
Unn sabse badi cheez
Hai insaan ki daulat
Soye huye dilon ko
Jagata hai yeh imaan
Bhatke huye ko raah
Dikhata hai yeh imaan
Imaan ki garmi se
Pighal jaate hain patthar
Iss noor se bante hain
Sanwarte hain muqaddar
Jo sab se pyar karta
Hai insaan wahi hai
Muslim hai wahi
Sahib-e-imaan wahi hai
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Jis kaam ke karne pe
Na ho raazi koi dil
Woh kaam bhi iss duniya mein
Nafrat ke hai kaabil
Jo kuch bhi zubaan keh de
Woh iqraar nahi hai
Laghzish hai labon ki
Woh gunehgaar nahi hai
Jo dil se nahin karta
Burayi ka iraada
Allaah se woh tauba kare
Tod de waada
Jaldi jo sambhal jaaye
Woh nadaan nahi hai
Imaan jisme ho
Woh beimaan nahi hai
Duniya mein humesha
To nahin rehta andhera
Insaan jahaan jaage
Wahin pe hai savera
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Jo sacche dil se karta hai
Imaan ki aarzo
Allaah ki nazaron mein
Woh hota hai surkh rooh
Imaan mein kya kya
Na saha pyaare Nabi ne
Kya aisi musibat bhi
Utthayi hai kisi ne
Karbal ke sahidon ne
Sabak humko padhaya
Sajde mein deke jaan
Ko imaan bachaya
Iss raah mein jo sehte hain
Taqleef-o-musibat
Ik roz unpe hoti hai
Allaah ki rehmat
Insaan hai woh jo dusron ka
Dil na dukhaye
Pad jaaye agar jaan
Pe to jaan lutaye
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
0 Comments