Dekho Rootha Na Karo Lyrics - Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar - Tere Ghar Ke Samne (1963)

 Description:


Song: Dekho Rootha Na Karo
Movie: Tere Ghar Ke Samne
Singer: Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music: S.D. Burman
Music Label: Saregama India Ltd

Lyrics:


Dekho rootha na karo

Baat nazaro ki suno

Hum na bolenge kabhi

Tum sataya na karo


Dekho rootha na karo

Baat nazaro ki suno

Hum na bolenge kabhi

Tum sataya na karo

 

Chehara to laal huwa

Kya kya haal huwa

Iss adaa par teri

Main to pamaal huwa


Tum bigadne jo lago

Aur bhi haseen lago


Hum na bolenge kabhi

Tum sataya na karo

Dekho rootha na karo

Baat nazaro ki suno


Jaan par meri bani

Aap ki thehari hassi

Haye main jaan gayi

Pyar ki fitna-gari


Dil jalne ke liye

Thandi aahein na bharo


Dekho rootha na karo

Baat nazaro ki suno

Hum na bolenge kabhi

Tum sataya na karo


Teri khushbu ne mere

Hosh bhi chheen liye

Hai khushi aaj humein

Tere pehlun mein ghire


Dil ki dhadkan pe zara

Phool sa haath rakho


Hum na bolenge kabhi

Tum sataya na karo

Dekho rootha na karo


Kya kahega yeh samaa

Inn raahon ka dhuwa

Laaj aaye mujhe

Mujhko laye ho kahan


Hum tumhe maan gaye

Tum bade woh ho hato


Dekho rootha na karo

Baat nazaro ki suno

Hum na bolenge kabhi

Tum sataya na karo

Dekho rootha na karo

Post a Comment

0 Comments