Bhala Mano Bura Mano Lyrics - Mohammed Rafi - Mere Sanam (1965)

 Description:


Song: Bhala Mano Bura Mano
Movie: Mere Sanam
Singer: Mohammed Rafi
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Music: O.P. Nayyar
Music Label: Saregama India Ltd

Lyrics:



Hue hain tumpe aashiq hum
Bhala mano bura mano
Yeh chahat ab na hogi kam
Bhala mano bura mano
Hue hain tumpe aashiq hum
Bhala mano bura mano

Yeh ruthi si nazar yeh mathe ki shikan
Yeh ruthi si nazar yeh mathe ki shikan
Libas-e-rang mein yeh balkhata badan
Hai pyaasa pyar ka yeh sara baankpan
Hai pyaasa pyar ka yeh sara baankpan
 
Ho ho ho pyar kya hai
Jaan-e-tamanna ab to pehchano

Hue hain tumpe aashiq hum
Bhala mano bura mano
Yeh chahat ab na hogi kam
Bhala mano bura mano

Aji ik hum to kya ho tum aise haseen
Aji ik hum to kya ho tum aise haseen
Farishta bhi tumhe agar dekhe kahin
To jannat bhool ke bahak jaye yahin
To jannat bhool ke bahak jaye yahin

Ho ho ho pyar kya hai
Jaan-e-tamanna ab to pehchano

Hue hain tumpe aashiq hum
Bhala mano bura mano
Yeh chahat ab na hogi kam
Bhala mano bura mano

Tumhi ko chun liya nazar ki baat hai
Tumhi ko chun liya nazar ki baat hai
Liya gham aapka jigar ki baat hai
Ho tum phir bhi khafa asar ki baat hai
Ho tum phir bhi khafa asar ki baat hai

Ho ho ho pyar kya hai
Jaan-e-tamanna ab to pehchano

Hue hain tumpe aashiq hum
Bhala mano bura mano
Yeh chahat ab na hogi kam
Bhala mano bura mano

Post a Comment

0 Comments