Bedardi Balma Tujhko Lyrics - Lata Mangeshkar - Arzoo (1965)

 Description:


Song: Bedardi Balma Tujhko
Movie: Arzoo
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music: Shankar-Jaikishan
Music Label: Saregama India Ltd

Lyrics:


Bedardi balma tujhko

Mera mann yaad karta hai


Bedardi balma tujhko

Mera mann yaad karta hai

Barasta hai jo ankhon se

Woh sawan yaad karta hai


Bedardi balma tujhko

Mera mann yaad karta hai


Kabhi hum sath gujare

Jin sajili rahguzaro se

Fiza ke bhes mein girte

Hain ab patte chanaro se


Yeh raahein yaad karti hain

Yeh gulshan yaad karta hai


Bedardi balma tujhko

Mera mann yaad karta hai

Barasta hai jo ankhon se

Woh sawan yaad karta hai


Bedardi balma tujhko

Mera mann yaad karta hai


Koi jhonka hawa ka jab

Mera aanchal udata hai

Guman hota hai jaise tu

Mera daman hilata hai


Kabhi chuma tha jo tune

Woh daaman yaad karta hai


Bedardi balma tujhko

Mera mann yaad karta hai

Barasta hai jo ankhon se

Woh sawan yaad karta hai


Bedardi balma tujhko

Mera mann yaad karta hai


Woh hi hai jheel ke manzar

Woh hi kirno ki barsatein

Jahan hum tum kiya karte

The pahro pyar ki baatein


Tujhe iss jheel ka khamosh

Darpan yaad karta hai


Bedardi balma tujhko

Mera mann yaad karta hai

Barasta hai jo ankhon se

Woh sawan yaad karta hai


Bedardi balma tujhko

Mera mann yaad karta hai

Post a Comment

0 Comments