Ae Phoolon Ki Rani Lyrics - Mohammed Rafi - Arzoo (1965)

 Description:


Song: Ae Phoolon Ki Rani
Movie: Arzoo
Singer: Mohammed Rafi
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music: Shankar-Jaikishan
Music Label: Saregama India Ltd

Lyrics:


Ae phoolon ki rani baharon ki malika

Tera muskurana gazab ho gaya

Ae phoolon ki rani baharon ki malika

Tera muskurana gazab ho gaya


Na dil hosh mein hai

Na hum hosh mein hai

Nazar ka milana gazab ho gaya


Tere honth kya hai gulabi kanwal hai

Yeh do pattiya pyar ki ik gazal hai


Woh nazuk labon se mohabbat ki batein

Humi ko sunana gazab hogaya

Ae phoolon ki rani baharo ki malika

Tera muskurana gazab ho gaya


Kabhi khul ke milna kabhi khud jhijhakna

Kabhi raasto par behakna machalna


Yeh palkon ki chilman uthakar girana

Girakar uthana gazab ho gaya

Ae phoolon ki rani baharon ki malika

Tera muskurana gazab ho gaya


Fizaaon mein thandak ghata bhar jawani

Tere gesuon ki badi meharbani


Har ik pech mein saikado maikade hain

Tera ladkhadan gazab ho gaya

Ae phoolon ki rani baharon ki malika

Tera muskurana gazab ho gaya


Na dil hosh mein hai

Na hum hosh mein hain

Nazar ka milana gazab ho gaya

Post a Comment

0 Comments