Aaj Phir Jeene Ki Tamanna Hai Lyrics - Lata Mangeshkar - Guide (1965)

 Description:


Song: Aaj Phir Jeene Ki Tamanna Hai
Movie: Guide
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Shailendra
Music: S.D Burman
Music Label: Saregama India Ltd

Lyrics:



O kaanto se kheech ke yeh aanchal

Tod ke bandhan bandhi payal

Ho koi na roko dil ki udaan ko

Dil woh chala

Aa aa aa aa aa aa


Aaj phir jeene ki tamanna hai

Aaj phir marne ka iraada hai

Aaj phir jeene ki tamanna hai

Aaj phir marne ka iraada hai


Apne hi bas mein nahin main

Dil hai kahin to hoon kahin main

Haan apne hi bas mein nahin main

Dil hai kahi to hoon kahin main


Ho jaane kya paake meri zindagi ne

Hass kar kaha

Ha ha ha ha ha ha


Aaj phir jeene ki tamanna hai

Aaj phir marne ka iraada hai

Aaj phir jeene ki tamanna hai

Aaj phir marne ka iraada hai


Main hoon gubaar ya tufaan hoon

Koi bataye main kahaan hoon

Ho main hoon gubaar ya tufaan hoon

Koi bataye main kahaan hoon


Dar hai safar mein kahin kho na jaaun

Rasta naya

Aa aa aa aa aa aa


Aaj phir jeene ki tamanna hai

Aaj phir marne ka iraada hai

Aaj phir jeene ki tamanna hai

Aaj phir marne ka iraada hai


Kal ke adheron se nikal ke

Dekha hai aankhien malte malte

O kal ke adheron se nikal ke

Dekha hai aankhien malte malte


Ho phool hi phool zindagi bahaar hai

Tay kar liya

Aa aa aa aa aa aa


Aaj phir jeene ki tamanna hai

Aaj phir marne ka iraada hai

Aaj phir jeene ki tamanna hai

Aaj phir marne ka iraada hai

Post a Comment

0 Comments