Thalaivi - Dialogue (2021)

  •  Yeh ladai logon ke liye hai ... apne swabhimaan ke liye hai ... is ladai mein hum gir sakte hai, zakhmi ho sakte hai, magar hum peeche nahi hat sakte
  • Aaj tune jis tarah bhari sabah mein mera apmaan kiya hai ... waisa hi cheer haran Kauravon ne Draupadi ka kiya tha ... woh satta ki ladai bhi woh jeeti thi ... aur yeh satta ki ladai bhi main jeetungi ... kyun ki Mahabharat ka doosra naam hai Jaya
  • Baat aise karo joh dil ko lage ... dil par nahi
  • Jeet agar sar pe chhad jaye toh haar se bhi buri ban sakti hai
  • Sach aur khushi dono insaan ko ek saath nahi milti
  • Politics bhi pyar ki tarah hai ... dikhana aasaan hai magar nibhana mushkil

  • Medu vada mein hole angoothe se zyada accha padta hai ... ungli nahi karte
  • Parde par film aurat ke bina pheeki lagti hai ... magar jab woh aurat power ki position pe aati hai toh sabko mirchi lagti hai
  • Politics bahut kuch deti hai ... paise, power, position, pehchaan ... magar bahut kuch le bhi leti hai ... aur issi lein dein mein insaan kabhi kabhi bahut door nikal jaata hai ... kabhi khud se aur kabhi apno se

Post a Comment

0 Comments