Signal pe khada hawaldar sau rupaye mein meherban hai ... naam tumhara Khan toh aatankvadi poora khandan hai ... wahan apne hi ghar mein pankhe pe latak raha kisaan hai ... lekin mera desh mahaan hai
Meri hathkadi aur mere bandook ki goli ... dono pe uska naam likha hai
Har gunehgar ko aisi maut maroonga ... ki agle janam mein maa ki kok se kya ... baap ki top se bhi nikalne se darega
Yeh jung khaki ya khadi pehenkar nahi ladi ja sakti ... iske liye kafan pehankar nikalna hoga
Tann, mann, dhan se badkar jan gan man
Aurat ki joh izzat na kare woh har mard murga hai ... joh nau mahine kok mein paale woh Mariam hai, woh Durga hai
Dono haathon ki zaroorat taali bajane ke liye namardon ko hoti hai ... geedaron se nipatne ke liye sher ka ek panja hi kaafi hai
Tu bharatiya naari hai ... thaan le toh sab pe bhaari hai
Ab main jee kholkar tujhe maroonga aur tu daant phaadkar zor-zor se hasega ... agar teri hasi ruki toh aur maroonga
Mera funda dandi nahi hai ... mera funda danda hai ... Gandhi ji ki hamesha jai ho ... lekin Bhagat Singh mera banda hai
Police chahti hai meri kalai ka naap ... hathkadi ke liye ... jallad chahta hai mere gale na naap ... phansi ke liye ... aur baimaan darta hai sunke mere jigre ka naap ... chappan inch
Do takke ki jaan lene chappan inch ka jigra nahi ... chappan kilo ka hathoda chahiye
Agar begaani shaadi mein Abdullah deewana banke ghus gaya ... toh doli ke uthne se pehle sarkari goli se woh uth jayega
Aaj ke baad agar kisi ladki ki izzat nahi ki toh aisa haal karunga ... ki zindagi bhar peeche se mootega ... kyun ki aage ka tootega
Maa, behen, biwi, devi ... ek aurat ka astitva sirf inhi naamo se kyun hota hai ... doctor, judge, lawyer, chief minister, prime minister kyun nahi ... ek aurat agar ghar ki rasoi chala sakti hai ... toh desh bhi chala sakti hai
Sher ki poonch pe pair aur Azaad ki moonch pe haath nahi rakhte ... sher gusse se dahaadta hai ... Azaad phaadta hai
Kal nahi aaj aayega ... tere liye bhi yamraj aayega
Noton ke alava kuch nahi badla ... aaj bhi desh ka gareeb nanga hai ... ab main ek vaada karta hoon ... ab ya toh corruption mitega ya beimaan ka lahu bahega
Jeevan ka ek hi satya hai ... jaisa bhoyega waisa kaatega ... joh auron ke saath kiya, wohi muqaddar tujhe baatega
Ashok Stambh, joh Bharat ka rashtriya chinh hai ... us Ashok Stambh ki kasam .. tujhe roka nahi toh usse maathe pe pehenne ka mujhe adhikaar nahi
Yahan aisi maa'en hai joh tum jaise beton ko janam deti hai ... joh hamesha sachai ke liye ladte hai ... haarte hai lekin rukte nahi ... chahe kuch bhi ho jaye, tootte nahi
Jis desh ki maiyya Ganga hai ... wahan khoon bhi tiranga hai
Bachpan se har sacha sardar do hi cheez toh seekhta hai ... gurbani aur qurbani
Uske bazuon mein itna dum hai ... ki uski maar ke liye na bana koi marham hai
Tujhe chupne ki jagah na milegi shamshan mein ... na Pakistan mein
Hero ne entry maari ... public ne seeti maari ... ab toh guarantee aage hai maara-maari
0 Comments