Darr asal mein is baat ka nahi hai ke hum bade sapne dekhte hai joh poore nahi hote ... asal mein darr toh is baat ka hai ke hum chote sapne dekhte hai joh poore ho jaate hai
Woh joh matki phodne ka khel hota hai na ... matki phodta toh ek hi hai ... lekin usse us oonchai tak pahunchane wale bahut kandhe hote hai ... mukaam saamne dikhta hai ... aise mein bedhadak chalaang lagani chahiye ... phisalkar gir padhe toh wohi kandhe sambhal lenge ... lekin agar matki tak pahunche aur phod dali ... toh itihaas rach doge
Number one ke sapne paalna khatre se khali nahi hota
Game jeetne ke liye tum kya karti ho yeh important nahi hai ... important hai ki game jeetne ke liye tum kya chhodti ho
Raaste par chalna ek baat hai Saina ... aur raasta banana doosri baat hai ... tu na beta woh doosri baat karne ki soch
Mera dhyay ekdum saral ... saamne wale ko maat dena
Mujhe woh champion nahi chahiye joh mann mein jeet ke baare mein sochta hai ... mujhe woh champion chahiye joh jeet ke alava aur kuch nahi sochta hai
0 Comments