Jab iraada marne maarne ka ho ... toh fikar nahi, taiyaari karte hai
Dhokhe ki khaasiyat hai ... ki dene wala aksar koi khaas hi hota hai
Bandook toh sirf shaunk ke liye rakhta hoon ... darane ke liye naam hi kaafi hai
Jab khone ke liye kuch nahi hota na ... toh paane ko poori duniya hoti hai
Meri goli se bachne ke liye tujhe baar-baar khushkismat hona padega ... aur mujhe sirf ek baar
Hum dono ek hi jagah khade hai ... lekin fark sirf itna hai ... tu neeche jaa raha hai aur main upar
Patthar ka jawab phool se doonga ... lekin phool uski arthi pe hoga
Shikayat apno se hoti hai ... aur shukriya uske alava main kisi ka nahi karta
Yahan raj ussi ka chalta hai jiski himmat uski taqat se badi ho
Aaj se tera kissa khatam aur meri kahani shuru
Agar zindagi mein aage badna chahte ho na ... toh do baatein yaad rakho ... tumhe kaun chahiye aur usse kya chahiye
Guzra hua waqt aur aane wala waqt ... dono ko kal kehte hai ... yeh faisla humein karna hai ki hum kis kal mein rehna chahte hai
Yeh tumhari lakshmanrekha hai ... Sita ne paar ki toh Ramayan chiddi thi ... tum karoge toh Mahabharat
Main umeed par nahi ... zid par jeeta hoon
Taqdeer sirf utna hi likhti hai, jitna hum usse likhne dete hai
Kismat gaadi ke gear jaisi hai ... agar time par badal diye toh zindagi ki speed badh jaati hai
Agar tu ungli nahi karta ... toh apni bhi ginti shareefon mein hoti
Khatra agar uthaya na jaaye, toh aur badh jaata hai
Jungle mein sannate ka matlab jungle mein sher hai ... aur log khauf se jungle jaate nahi ... magar sher jab jungle chhodkar khule-aam shehar mein shikaar karne lagta hai ... toh poora shehar usse maarne ke liye khada ho jaata hai
Teri gaadi bulletproof hai ... tu nahi
(Sabar kar, tera bhi time aayega) - Time toh har kisi ka aata hai ... mera daur aayega
0 Comments