Meri Tarah Lyrics - Jubin Nautiyal, Payal Dev (2022)

 Description:


Song: Meri Tarah
Singer: Jubin Nautiyal, Payal Dev
Lyrics: Kunaal Vermaa
Music: Payal Dev
Music Label: T-Series

Lyrics:


Kaun hai woh duniya mein jo

Tujhe mujhse badhkar chahne laga

Jiske liye tu haath mera

Ek pal mein chhod ke jaane laga


Kaun hai woh duniya mein jo

Tujhe mujhse badhkar chahne laga

Jiske liye tu haath mera

Ek pal mein chhod ke jaane laga


Tu soch samajh kar chaho usse

Ek din mujhse milwao usse

Main bhi to dekhun

Pyar mein woh kya kar sakta hai


Kya woh jo bhi kehta hai

Woh sach mein kar sakta hai

Kya meri tarah woh tujhpar

Hass ke mar sakta hai


Kya woh jo bhi kehta hai

Woh sach mein kar sakta hai

Kya meri tarah woh tujhpar

Hass ke mar sakta hai

Hass ke mar sakta hai


Bahut fark hota hai

Yun saath muskurane mein

Haath thamne mein aur

Zindagi bitane mein


Jeene marne ki baatein

Karke bhool jaate hain

Kya kisi ka jaaye jhoothe

Khwab sau dikhane mein


Tum galiyon mein apni bulao zara

Mere jitne kaante bichhao zara

Bina uff kiye kaya inpe

Woh bhi guzar sakta hai


Kya woh jo bhi kehta hai

Woh sach mein kar sakta hai

Kya meri tarah woh tujhpar

Hass ke mar sakta hai


Kya woh jo bhi kehta hai

Woh sach mein kar sakta hai

Kya meri tarah woh tujhpar

Hass ke mar sakta hai


Ab yaad rakhega kaun kise

Yeh waqt ko tai kar lene de

Karde khushiyon ki baarish uss par

Aankh mujhe bhar lene de


Na shor hua aawaz hui

Jab jab dil saccha toota hai

Puchho sabse sabko apne

Chahne walon ne loota hai


Na aas rahe na saans rahe

Hum bhi patthar ho jayenge

Tum ho jayoge gairon ke

Hum to khud ke hi na ho payenge

Ho payenge


Teri dhadkanon ke zariye

Main bhi to dhadakti hoon

Tujhe kaise dil se mere

Door kar sakti hoon


Jaisi bhi ho raahein chahe

Haan main chal sakti hoon

Tujhe dekh kar jeeti hoon

Tujhpe mar sakti hoon

Tujhpe mar sakti hoon

Tujhpe mar sakti hoon

Tujhpe mar sakti hoon

Post a Comment

0 Comments