Kisaan beejh issi liye boohta hai taaki ek din fasal kaat sake ... aur rajneeti mein bhi bakra issi liye paala jaata hai taaki samay aane par uski qurbaani di jaa sake
Ramji ke liye aasaan tha Ravan ko maarna ... uska dus maatha tha par dikhta tha ... yahan system ke Ravan ka naa jaane kitna maatha hai, kitna munh hai, kitna aankh hai ... aur jab bhi koi munh kholta hai toh gareeb ki bali maangta hai ... uska adhikaar cheenta hai ... kaise lade is system se
Jiske haath mein nyay dene ka aadhikar ho aur nyay na de ... woh hoth hai asal mritak
Galati sudaarne ka matlab hota hai galati sweekarna ... hamare system ka masla galati sudaarne ka nahi, galati sweekarne ka hai
Kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi ... kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi ... baarishon mein hai naav kaagaz ki ... sardiyon mein alaav kaagaz ki ... aasman mein patang kaagaz ki ... saari duniya mein jung kaagaz ki
Kabhi akhbaar, kabhi khat kaagaz ... rozmarra ki zaroorat kaagaz ... aane jaane ki sahulat kaagaz ... jeene marne ki izazat kaagaz ... pyar ki chittiyan bhi kaagaz ki ... kaam ki arziyan bhi kaagaz ki ... jashan mein jhandiyan bhi kaagaz ki ... jism ki mandiyan bhi kaagaz ki ... bane naaton ka bhi gawah kaagaz ... kahin shaadi, kahin nikah kaagaz ... kahin talaak ka gunah kaagaz ... banaye aur kare tabah kaagaz ... cheen le khet, ghar, zameen, kaagaz ... poche aankhon ki bhi nammi kaagaz ... har jagah yoon hai laazmi kaagaz ... jaise ghar ka hai aadmi kaagaz ... kuch nahi hai, magar hai sab kuch bhi ... kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi
Yeh duniya ek akhada hai ... jhe ma sach aur jhooth naam ke dui pehalwan lad rahe hai ... aur jab tak sach naam ka pehalwan jhooth naam ke pehalwan ko pachaad nahi deta ... tab tak yeh ladai jaari rahegi
Agar insaan haare bhi na ... toh uh kaam karke jisse woh dil se karna chahe
Suna hai sach aur jhooth ki jung mein jeet hamesha sach ki hoti hai ... aur apne desh ka sach toh yeh hai ... ki jeet ussi ki hoti hai jiske paksh mein kaagaz hota hai ... itni taqat hai apne system mein kaagaz ki ... aur kaagaz ki is taqat se takrana na toh koi mamooli kaam hai aur na hi kisi mamooli aadmi ka kaam hai
Yeh karza joh hai na kutte paalne jaisa hai ... kehne ke liye suraksha karta hai ... par roz bow-bow karke roti maangega ... aur joh ek din roti na do na toh kaat dega yeh
0 Comments