Description:
Lyrics:
Kabhi pehle
Dekha nahi yeh samaa
Yeh main bhul se
Aa gaya hoon kahan
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Main jo hoon bas wahi hoon
Main jo hoon bas wahi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Kahan shaam-o-sahar yeh
Kaha din-raat mere
Bahut rusva huye hain
Yahan jazbaat mere
Nayi tehzeeb hai yeh
Naya hai yeh zamana
Magar main aadmi hoon
Wahi sadiyon purana
Main kya jaanu yeh baatein
Zara insaaf karna
Meri gustakhiyon ko
Khudara maaf karna
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Teri baanhon mein dekhun
Sanam gairon ki baanhein
Main launga kahan se
Bhala aisi nigahein
Yeh koi raqs hoga
Koi dastur hoga
Mujhe dastur aisa
Kahan manzur hoga
Bhala kaise yeh mera
Lahu ho jaaye paani
Main kaise bhool jaaun
Main hoon Hindustani
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Mujhe bhi hai shikayat
Tujhe bhi to gilla hai
Yahi shikwe humari
Mohabbat ka silla hai
Kabhi maghrib se mashriq
Mila hai jo milega
Jahan ka phool hai jo
Wahin pe woh khilega
Tere unche mahal mein
Nahin mera guzara
Mujhe yaad aa raha hai
Wo chhota sa shikara
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Main jo hoon bas wohi hoon
Main jo hoon bas wohi hoon
Yahan main ajnabi hoon
Yahan main ajnabi hoon
0 Comments