Khuda-E-Bartar Lyrics - Lata Mangeshkar - Taj Mahal (1963)

 Description:


Song: Khuda-E-Bartar
Movie: Taj Mahal
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Music Label: Saregama Music

Lyrics:


Khuda-e-bartar teri zameen par

Zameen ke khatir yeh jang kyun hai

Har ek fatho jafar ke daaman pe

Khoon-e-insaan ka rang kyun hai

Khuda-e-bartar

Zameen bhi teri hai hum bhi tere

Yeh milkiyat ka sawaal kya hai

Yeh katl-o-khoon ka rivaaj kyun hai

Yeh rasme jang-o-jadal kya hai

Jinhe talab hai jahan bhar ki

Unhi ka dil itna tang kyun hai

Khuda-e-bartar

Gareeb maao shareef behno 

Ko amn-o-ijjat ki zindagi de

Jinhe ata ki hai tune taakat

Unhe hidayat ki roshni de

Saro mein kibro guroor kyun hai

Dilon ke sheeshe pe jang kyun hai

Khuda-e-bartar

Kaza ke raste pe jaanewalo 

Ko bach ke aane ki raah dena

Dilon ke gulshan ujjad na jayein

Mohabbaton ko panaah dena

Jahan mein jashn-e-wafa ke badle

Yeh jashn-e-teeron tafang kyun hai

Khuda-e-bartar teri zameen par

Zameen ke khatir yeh jang kyun hai

Har ek fatho jafar ke daaman pe

Khoon-e-insaan ka rang kyun hai

Khuda-e-bartar


Post a Comment

0 Comments