Han Yeh Mana Meri Jaan Lyrics - Mohammed Rafi, Balbir - Hanste Zakhm (1973)

 Description:


Song: Han Yeh Mana Meri Jaan
Movie: Hanste Zakhm
Singer: Mohammed Rafi, Balbir
Lyrics: Kaifi Azmi
Music Label: Saregama Music

Lyrics:


Haye 

Tauba tauba yeh jawani

Yeh jawani ka guroor

Ishq ke saamne phir bhi

Sar jhukana hi pada

Kaisa kehte the na aayenge

Na aayenge magar 

Dil ne iss tarah pukara 

Tumhe aana hi pada

Yeh maana meri jaan 

Mohabbat saza hai

Yeh maana meri jaan 

Mohabbat saza hai

Maza isme itna

Magar kis liye hai

Maza isme itna

Magar kis liye hai

Woh ik bekarari

Jo ab tak idhar thi

Wohi bekarari

Udhar kis liye hai

Abhi tak to idhar thi 

Udhar kis liye hai

Kis liye hai 

Han kisliye hai

Han yeh maana meri jaan 

Mohabbat saza hai

Maza isme itna

Magar kis liye hai

Maza isme itna

Magar kisliye hai

Behalna na jaane

Badalna na jaane

Tammana machal ke

Sambhalna na jaane

Han tammana machal ke

Sambhalna na jaane

Behalna na jaane

Badalna na jaane

Haye tamanna machal ke

Sambhalna na jaane

Ho ho ho behalna na jaane

Badalna na jaane

Tammana machal ke

Sambhalna na jaane

Han tammana machal ke

Sambhalna na jaane

Kareeb aur aao

Kadam to badhao

Jhuka doon na main

Sar to sar kis liye hai

Jhuka doon na main

Sar to sar kis liye hai

Yeh maana meri jaan 

Mohabbat saza hai

Maza isme itna

Magar kis liye hai

Maza isme itna

Magar kis liye hai

Najare bhi dekhe

Ishare bhi dekhe

Kayi khubsurat

Sahare bhi dekhe

Han kayi khubsurat

Sahare bhi dekhe

Najare bhi dekhe

Ishare bhi dekhe

Kayi khubsurat

Aa sahare bhi dekhe

Naam kya cheez hai

Ijjat kya hai 

Sone chandi ki 

Hakikat kya hai

Lakh behlaye koyi

Daulat se 

Pyar ke saamne 

Daulat kya hai

Najare bhi dekhe

Ishare bhi dekhe

Haye kayi khubsurat

Aa sahare bhi dekhe

Han kayi khubsurat

Sahare bhi dekhe

Jo maikhane jaake

Main sagar uthaun

To phir yeh nashili

Nazar kis liye hai

To phir yeh nashili

Nazar kis liye hai

Han yeh maana meri jaan 

Mohabbat saza hai

Maza isme itna

Magar kis liye hai

Maza isme itna

Magar kis liye hai

Tumhi ne sanwara

Tumhi ne sajaya

Mere soone dil ko

Tumhi ne basaya

Han mere sune dil ko

Tumhi ne basaya

Tumhi ne sanwara

Tumhi ne sajaya

Mere soone dil ko

Tumhi ne basaya

Jis chaman se bhi

Tum gujar jaao 

Har kali par nikhar aa jaye

Rooth jaao to rooth jaaye khuda 

Aur jo hass do

Bahar aa jaye

Tumhi ne sanwara

Tumhi ne sajaya

Haye mere soone dil ko

Tumhi ne basaya

Mere sune dil ko

Tumhi ne basaya

Tumhare kadam se

Hai ghar mein ujala

Agar tum nahi to

Yeh ghar kis liye hai

Agar tum nahi to

Yeh ghar kis liye hai

Han yeh maana meri jaan 

Mohabbat saza hai

Maza isme itna

Magar kisliye hai

Woh ik bekarari

Jo ab tak idhar thi

Wohi bekarari

Udhar kis liye hai

Wohi bekarari

Udhar kis liye hai

Post a Comment

0 Comments