Description:
Lyrics:
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Dono chaman mein rehte the
Hai yeh kahani bilkul sacchi
Mere nana kehte the
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Bulbul kuch aise gaati thi
Aise gaati thi aise gaati thi
Kaise gaati thi
Bulbul kuch aise gaati thi
Jaise tum baatein karti ho
Woh gul aise sharmata tha
Aise sharmata tha
Aise sharmata tha
Kaise sharmata tha
Woh gul aise sharmata tha
Jaise main ghabra jata hoon
Bulbul ko maalum nahi tha
Gul aise kyun sharmata tha
Woh kya jaane uska nagma
Gul ke dil ko dhadkata tha
Dil ke bhed na aate lab pe
Yeh dil mein hi rehte the
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Phir kya hua
Lekin aakhir dil ki baatein
Aise kitne din chhupti hain
Yeh woh kaliyan hain jo ik din
Bas kaantein ban ke chubhti hain
Ik din jaan liya bulbul ne
Woh gul uska deewana hai
Tumko pasand aaya ho to bolun
Phir aage jo afsana hai
Hmm bolo na chup kyun ho gaye
Ek duje ka ho jaane par
Woh dono majboor huye
Unn dono ke pyar ke kisse
Gulshan mein mashur huye
Saath jiyenge saath marenge
Woh dono yeh kehte the
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Phir kya huwa
Phir ik din ki baat sunaun
Ek sayyaad chaman mein aaya
Le gaya woh bulbul ko pakad ke
Aur deewana gul murjhaya
Aur deewana gul murjhaya
Shayar log bayan karate hain
Aise unki judayi ki baatein
Gaate the yeh geet woh dono
Saiyyan bina nahi kat’ti raatein
Saiyyan bina nahi kat’ti raatein
Haye
Mast baharon ka mausam tha
Aankh se aansu behte the
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Aati thi aawaj humesha
Yeh jhilmil jhilmil taaron se
Jiska naam mohabbat hai
Woh kab rukti hai deewaron se
Ik din aah gul-o-bulbul ki
Uss pinjare se ja takrayi
Toota pinjara chhuta kaidi
Deta raha saiyad duhayi
Rok sake na usko milke
Sara zamana sari khudayi
Gul sajan ko geet sunane
Bulbul baagh mein wapas aayi
Raja bahut acchi kahani hai
Yaad sada rakhna yeh kahani
Chahe jeena chahe marna
Tum bhi kisi se pyar karo to
Pyar gul-o-bulbul sa karna
Pyar gul-o-bulbul sa karna
Pyar gul-o-bulbul sa karna
Pyar gul-o-bulbul sa karna
0 Comments