Ek Padosan Peechhe Pad Gayi Lyrics - Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor - Gopi (1970)

 Description:


Song: Ek Padosan Peechhe Pad Gayi
Movie: Gopi
Singer: Lata Mangeshkar, Mahendra Kapoor
Lyrics: Rajendra Krishan
Music: Kalyanji-Anandji
Music Label: Saregama Music

Lyrics:


Ek padosan peechhe pad gayi

Hoye London se aaya main ban than ke

Junglee jiska naam

Ho junglee jiska naam

Pyar mohabbat kya samjhaye

Isko ram aur shyam

Ke teri meri nahin nibhni

Ke teri meri nahin nibhni

Nahin nahin

Ke teri meri nahin nibhni

Ja main na teri madhumati

Na dhanno mera naam

Ho dhanno

Ja main na teri madhumati

Na dhanno mera naam

Dil bhi dena dard bhi lena

Yeh nahin mera kaam

Ke teri meri nahin nibhni

Ke teri meri nahin nibhni

Nahin nahin

Ke teri meri nahin nibhni

Main tha ik azad musaafir

Gaya dekhne mela

Hoye gaya dekhne mela

Hoye gaya dekhne mela

Hoye lagi huyi thi uss mele mein

Aayi milan ki bela

Hoye aayi milan ki bela

Hoye aayi milan ki bela

Jisme kaam kare thi baano

Yaaron maano ya na maano

Aisi gori chitti chhori

Nazuk nazuk baans ki pori

Aisi gori chitti chhori

Chitti chhori aisi gori

Gori gori chitti chhori

Kaise karun main jora jori

Le gayi re dil mera chori chori

Hoye hoye chori chori

Hoye hoye chori chori

Oye baano baano kahke yaaron

Hoye baano baano kahke yaaron

Phirun main subah-o-shaam

Ke teri meri

Ke teri meri

Ke teri meri nahin nibhni

Nahin nahin

Ke teri meri nahin nibhni

Ja main na teri madhumati

Na dhanno mera naam

Dil bhi dena dard bhi lena

Yeh nahin mera kaam

Ke teri meri nahin nibhni

Ke teri meri nahin nibhni

Nahin nahin

Ke teri meri nahin nibhni

Haridwar mein Ganga dekhi

Aur dilli mein Jamuna

Dilli mein Jamuna

Dilli mein Jamuna

Lekin woh ek film thi jisme 

Ja atka mann apna

Atka mann apna

Ho atka mann apna

Jiska hero tha albela

Jaise hari chhail ka khela

Zaalim dil mein aag lagaye

Zulfein maathe par bikhraye

Lat lat kaari kaari

Kaari kaari matwaari

Matwaari pyari pyari

Pyari pyari nyari nyari

Main to ji arfa haari haari

Hoye hoye haari haari

Hoye hoye haari haari

Main hoon uski laalpari ho

Hoye hoye haari haari

Aur woh mera gulfam

Ke teri meri

Ke teri meri

Ke teri meri nahin nibhni

Nahin nahin

Ke teri meri nahin nibhni

Ek padosan peechhe pad gayi

Junglee jiska naam

Pyar mohabbat kya samjhaye

Isko ram aur shyam

Ke teri meri nahin nibhni

Ke teri meri nahin nibhni

Nahin nahin

Ke teri meri nahin nibhni

Ho chali milan ko ik jugnu se

Jogan nadiya paar

Chali milan ko ek jugnu se

Jogan nadiya paar

Jogan nadiya paar

Ho deewani ka deewane se

Hua anokha pyar

Ho deewani ka deewane se

Hua anokha pyar

Ho anokha pyar

Baabul mera de aaya hai

Shaadi ka paigham

Arre usse pehle le bhagega

Tujhko gopi ram

Udan khatole pe udte jaayein

Gaate ek tarana

Hoye main jab chhedun saaz-e-apna

Tu awaaz milana

Bol kahan ka aisa hai tu

Kohinoor ka tukda

Arre naye daur ke devdas ka

Dekho to yeh mukhda

Ja re ja footpath pe tujhko ho

Arre ja re ja footpath pe tujhko

Kar dungi neelam

Ke teri meri

Ke teri meri

Ke teri meri nahin nibhni

Nahi nahin

Ke teri meri nahin nibhni

Hoye ek padosan peechhe pad gayi

Junglee jiska naam

Pyar mohabbat kya samjhaye

Isko ram aur shyam

Ke teri meri nahin nibhni

Ke teri meri nahin nibhni

Ke teri meri nahin nibhni

Nahi nahin

Ke teri meri nahin nibhni

Post a Comment

0 Comments