Chandi Ka Badan Lyrics - Asha Bhosle, Meena Kapoor, Manna Dey, Mohammed Rafi - Taj Mahal (1963)

 Description:


Song: Chandi Ka Badan
Movie: Taj Mahal
Singer: Asha Bhosle, Meena Kapoor, Manna Dey, Mohammed Rafi
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Music Label: Saregama Music

Lyrics:


Chandi ka badan sone ki nazar

Uss par yeh nazakat kya kahiye

Eji kya kahiye

Chandi ka badan sone ki nazar

Uss par yeh nazakat 

Haye nazakat kya kahiye

Kis kis pe tumhare jalwon ne

Todi hai qayamat kya kahiye

Eji kya kahiye

Chandi ka badan sone ki nazar

Gustakh zubaan gustakh nazar

Yeh rang-e-tabiyat kya kahiye

Eji kya kahiye

Aise bhi kahin is duniya mein

Hoti hai mohabbat kya kahiye

Eji kya kahiye

Gustakh zubaan gustakh nazar

Aanchal ki dhanak ke saaye mein

Yeh phool gulabi chehron chehron ke

Yeh phool gulabi haan

Yeh phool gulabi chehron ke

Yeh gul bhi hai gulsan bhi hai

Aur taaron ka gurmat bhi

Yeh phool gulabi chehron ke

Yeh phool gulabi haye gulabi chehron ke

Iss waqt humari nazaro mein

Kya cheez hai jannat kya kahiye

Eji kya kahiye

Iss waqt humari nazaro mein

Tumse nazare jo mili

Din-o-duniya se gaye

Ik tamanna ke siwa

Har tamanna se gaye

Mast aankhon se jo pee

Jaam-o-meena se gaye

Zulf lehrayi jahaan

Hum bhi lehra se gaye

Hoore milti hain kise

Iski parvaah se gaye

Iski parvaah se gaye

Parvaah se parvaah se gaye

Iss waqt humari nazaro mein

Kya cheez hai jannat kya kahiye

Eji kya kahiye

Chandi ka badan sone ki nazar

Yun garm nigahein mat daalo

Yeh jism pighal bhi 

Pighal bhi sakte hain

Yeh jism pighal bhi haan

Yeh jism pighal bhi sakte hain

Yeh jism pighal bhi haye

Pighal bhi sakte hain

Aadab-e-nazara bhule ho

Tum logo ki vahshat kya kahiye

Eji kya kahiye

Aadab-e-nazara bhule ho

Tum humein jeet sako

Iska imkaan nahi

Khudko badnaam karein

Hum woh naadan nahi

Koi marta hai mare

Humpe ehsaan nahi

Unse kyun baat karein

Jinse pehchan nahi

Tumko armaan hai to hai

Humko armaan nahi

Humko armaan ke

Armaan ke armaan nahi

Aadab-e-nazara bhule ho

Aadab-e-nazara bhule ho

Tum logo ki vahshat kya kahiye

Eji kya kahiye

Chandi ka badan sone ki nazar

Din raat duhayi dete hain

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Jahan dekhi nayi surat 

Machal baithe

Jahan dekhi nayi surat 

Machal baithe haye

Yehi yehi yehi lenge 

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Ho jinki khatir gham sahein

Aur ro ro jaan gawayein

Haye re qismat unhi ke

Munh se deewane kehlayein

Ke yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

In aashiqon ke haath se

Ae zindagi bawaal

Inka kare khayal ke

Apna kare khayal

Har lab hai arz-e-shauq to

Har aankh hai sawaal

Har lab hai arz-e-shauq to

Har aankh hai sawaal

Yeh gham se beqarar hain

Woh dard se nihaal

Arre yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Meri neend gayi mera chain gaya

Woh jo pehle thi taab-o-tawan gayi

Yahi rang raha yahi dhang raha

To meri jaan yeh jaan lo jaan gayi

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Kisi ko khudkhushi ka

Shauq ho to kya kare koi

Dawa- e-hijr de bimaar ko

Achha kare koi

Koi bewajah sar phode

To kyun parvah kare koi

Kisi majbur-e-gham ka

Haal kyun aisa kare koi

Maza jab hai ke tum

Tum pair pakro 

Pair pakro tum

Dekha kare koi

Mare hum aur tum par

Ke tum par khoon ka

Khoon ka dawa dawa kare koi

Haan dawa kare koi

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Yeh haal hai inn deewano ka

Deewano ka

Jeete bhi nahi marte bhi nahi

Becharon ki haalat kya kahiye

Eji kya kahiye

Gustakh zubaan gustakh nazar

Post a Comment

0 Comments