O Yaara Dil Lagana Lyrics - Stebin Ben, Deeksha Toor - Sanak (2021)

 Description:


Song: O Yaara Dil Lagana
Movie: Sanak
Singer: Stebin Ben, Deeksha Toor
Lyrics: Manoj Yadav, Sameer Anjaan
Music: Chirantan Bhatt, Nadeem-Shravan
Music Label: Zee Music Company

Lyrics:


Humko tumse sirf sirf itna kehna hai

Dekhe duniya tumse pyar aise karna hai

Ban ke chahat ek doosre mein behna hai

Yaara yaari jaise sath jeena marna hai


Ikraar karna mushqil hai

Inkaar karna mushqil hai

Mehboob se mohabbat ka

Izhar karna mushqil hai


Oh kitna mushqil hai dekho

Iss duniya mein dil lagana

O yaara dil lagana

O yaara dil lagana


Kitna mushqil hai dekho

Iss duniya mein dil lagana

O yaara dil lagana, o yaara


Dekha yeh dekha hai aksar

Aashiqui to karti hai paagal

Saanson mein saans ban ke yeh

Kar deti hai dil ko ghayal


Neendein veendein yaara chain wain

Aur jaan waan leti hai uljhan

Bankar dil dost ishq ka

Ban jaata hai khud ka dushman


Koyi kehta ishq hai aafat

Koyi kehta ishq hai jannat

Koyi kahe nasha yeh bura hai

Koyi kahe achhi aadat


Aitbar karna mushqil hai

Jaan nisar karna mushqil hai

Mehboob se mohabbat ka

Izhar karna mushqil hai


Oh kitna mushqil hai dekho

Iss duniya mein dil lagana

O yaara dil lagana, o yaara


Kitna mushqil hai dekho

O yaara dil lagana, o yaara


Koi achha dil jo mile to

Achhe se dil main lagaun

Duniya main sir pe uthaun

Aashiq main khud ko banaun


Pyaara sa koi dil jo mile to

Jee bhar ke pyar jataun

Soye soye armaan jagaun

Ishq waali zehmat uthaun


Kitna mushqil hai dekho

O yaara dil lagana, o yaara

Post a Comment

0 Comments