Breathless Lyrics - Shankar Mahadevan - Breathless (1998)

Description:


Song: Breathless
Album: Breathless
Singer: Shankar Mahadevan
Lyrics: Javed Akhtar
Music: Shankar Mahadevan
Music Label: Saregama GenY

Lyrics: 


Koi jo mila to mujhe 

Aisa lagta tha jaise

Meri saari duniya mein

Geeton ki rut aur

Rangon ki barkha hai

Khushboo ki aandhi hai


Mehki hui si 

Ab saari fizaayein hain

Behki hui si 

Ab saari hawaayein hain


Khoyi hui si 

Ab saari dishaayein hain

Badli hui si 

Ab saari adaayein hain


Jaagi umange hai 

Dhadak raha hai dil

Saanson mein toofa hai 

Hothon pe nagme hain

Aankhon mein sapne hain

Sapno mein beete huye 

Saare woh lamhe hain


Jab koi aaya tha

Nazro pe chaaya tha

Dil mein samaya tha

Kaise main bataun tumhe

Kaise usse paaya tha


Pyaare se chehre pe

Bikhri jo zulfein 

To aisa lagta tha jaise 

Kohre ke peeche 

Ek os mein dhula hua


Phool khila hai jaise

Baadal mein ek chaand chupa hai

Aur jhaank raha hai jaise

Raat ke parde mein

Ek savera hai 


Roshan roshan

Aankhon mein 

Sapno ka saagar jisme

Prem sitaaron ki chaadar 

Jaise jhalak rahi hai

Lahro lahro baat kare 

To jaise moti barse


Jaise kahin chaandi ki paayal goonje

Jaise kahi sheesh ke jaam gire 

Aur chhan se toote


Jaise koi chhip ke sitaar bajaye

Jaise koi chaandani raat mein gaaye

Jaise koi haule se paas bulaye


Kaisi meethi baatein thi wo

Kaisi mulakate thi woh

Jab maine jaana tha

Nazro se kaise pighalte hain 

Dil aur aarzoo paati hai 

Kaise manzil


Aur kaise utarta hai 

Chaand zameen par

Kaise kabhi lagta hai 

Swarg agar hai to

Bas hai yahi par


Usne bataya mujhe

Aur samjhaya mujhe

Hum jo mile hai humein

Aise hi milna tha

Gul jo khile hai unhe

Aise hi khilna tha


Janmo ke bandhan

Janmo ke rishtey hain

Jab bhi hum jamne to

Hum yuhi milte hain


Kaano mein mere jaise 

Shahad sa ghulne lage

Khwabo ke dar jaise 

Aankhon mein khilne lage 


Khwabo ki duniya bhi 

Kitani hasi

Aur kaisi rangee thi

Khwabo ki duniya 

Jo kehne ko thi par 

Kahi bhi ni thi


Khwab jo toote mere

Aankh jo khuli meri

Hosh jo aaya mujhe

Maine dekha maine jaana


Woh jo kabhi aaya tha

Nazron pe chaaya tha

Dil mein samaya tha

Ja bhi chuka hai aur


Dil mera hai ab tanha tanha

Na to koi armaa hai 

Na koi tamanna hai

Aur na koi sapna hai


Ab jo mere din aur 

Ab jo meri raate hain

Unme sirf aansoo hai

Unme sirf dard ki ranjh ki 

Baate hai aur faryaade hain


Mera ab koi nahi

Main hoon aur khoye huye

Pyar ki yaadein hain

Main hoon aur khoye huye

Pyar ki yaadein hain

Main hoon aur khoye huye

Pyar ki yaadein hain


Post a Comment

0 Comments