Description:
Music Label: Sony Music India
Lyrics:
Aye Bikaneri chokri santre ki tokri
Ghar toh chhudwaya ab kya chhudaegi naukri
Romiyo romiyo gali ke romiyo
Bholi shaqal wale saare ke saare farebiyon
Ae romiyo romiyo
Bhaade ke premiyon kaahe gale pade ho
Bin bulaaye baaratiyon
Le toh gayi kaleja
Sang mein humein bhi le ja
Yeh toh chori pe hai seenazori
Kabhi lage monalisa
Kabhi kabhi lage lolita
Aur kabhi jaise kadambari
Haye meri param param
Param param param sundari
Haye meri param param
Param param param sundari
Sar se paer talak betahasa husn se bhari
Haye meri param param
Param param param sundari
Pairon mein payal ki bedi se
Bandhke main na rehne waali
Main allhad purwa ke jaisi hoon
Pardeson tak behne waali
Mujhe gehno se badhke
Sapnon ki chaahat hai
Jin sapnon ko sach
Ho jaane ki aadat hai
Katti hai meri mardon se
Yaari filmon ke pador se
Le toh gayi kaleja
Sang mein hume bhi le ja
Yeh toh chori pe hai seenazori
Kabhi lage monalisa
Kabhi kabhi lage lolita
Aur kabhi jaise kadambari
Haye meri param param
Param param param sundari
Haye meri param param
Param param param sundari
Sar se paer talak betahasa husn se bhari
Haye meri param param
Param param param sundari
Aye chhuna nahi chhuna chhuna nahi
Chhuna chhuna nahi mujhko
Aye hona nahi hona hona nahi
Teri hona nahi mujhko
Hath jhod chaahe paanv pad
Parvah nahi mujhko
Na nana na nana na na na na
Nana na na na nana na na na na
Aye bikaneri chhokri santre ki tokri
Ghar toh chhudwaya ab kya chhudaegi naukri
Dekh ke kamar teri bhage nabz meri
Jaise ghadi ka kaanta hickery dickery dockery
0 Comments