Description:
Music Label: Amit Bhadana
Lyrics:
Re bapu tune sikhaya jo kabhi bhula nahi
Galti na ho to suraj ki ankhon mein taad le
Jahan ko pade wo kadam ruke nahi
Soch aisi ho chattano ka bhi seena paad de
Logo se tere ghutne
Ajj tak teke nahi gaye
Kyunki aiso se kabhi
Ghamand ke kapde fenke nahi gaye
Aur jo data rahein
Akhiri sans tak wo
Sathi hota hai
Oh sach ka khada bhi
Ek anek mein beta kaafi hota hai
Aur jo haq ke liye lade sabse woh
Baap hi hota hai
Peeth pe chadke duniya dikhe jiske
Woh baap hi hota hai
Aur jo dante chahe maare
Par dil ka saaf hota hai
Jyada fikar na kare jamane ki
Woh baap hi hota hai
Bapu teri khoobi sari
Mujhme sama rakhi
Oh tere jaisi maine
Izzat kamma rakhi
Oh jab farz uthaya jimmedariyo ka
Tab se hi dukhi maine kabhi nahi maa rakhi
Woh roz mujhme teri chawi dekh karti bapu
Parchaiyan shero ki kahan marti
Ik wajah hoti hai jo jeene ki bapu
Woh maa ki aankhon mein dikha karti
Tu nahi duniya mein par teri baat rahe
Rampal fauji ke poto ki poori thaath rahe
Oh rakh ke hath jo sir pe
Mita de gham saare
Baap hi hota hai
Sahi aur galat mein fark batave
Aisa baap hi hota hai
Aur jo dante chahe maare
Par dil ka saaf hota hai
Jyada fikar na kare jamane ki
Woh baap hi hota hai
Re bapu ankh mein le aasman se
Jab jab chehra tera dikhta hai
Main roz ladu toofaan se banda
Thehar kahan khichta hai
Main roz punchu bhagwan se
Kyun tu sath nahi dikhta hai
Tu taras hi kha ke jagah bata de
Khwab jahan bikta hai
Kyun na wahin se hi jaake main khreed loon
Mujhe mange se pyar milta nahi
Par tera hi diya hua sab rakha bhole
Bas mujhe baap dikhta nahi
Aaj tere bina bhi main
Teri hi nazaron se duniya dekhta hoon
Main aaj bhi tere na hone ka dukh
Ek haste huye chehre se lapeta hoon
Bapu teri duaein kuch is tarah mere sath hai
Aaj dharti pe khada hoke main
Poore ka poora aasman samet’ta hoon
Bapu, bapu, bapu, bapu
Aur jo dante chahe maare
Par dil ka saaf hota hai
Jyada fikar na kare jamane ki
Woh baap hi hota hai
0 Comments