Description:
Lyrics: Neelesh Misra
Music Label: Oriyon Music
Lyrics:
Chehra humara ab hum
Kam kam hi dekhte hain
Kamron mein bebasi ke
Bas gham hi dekhte hain
Bacchon ka apne hasna
Bas phone par hai dekha
Ghayal hatheliyo par
Jeevan ki tooti rekha
Hum ghar ke bistaron par
Kab se nahi hai soye
Chhup karke naqabon mein
Hum kitne baar roye
Lo rakhlo apne tamge
In surkhiyon ko rakhlo
Har roz ki in farzi
Hamdardiyon ko rakh lo
Kyun mera rehnuma ye
Sab rokta nahi hai
Kabhi maut ke munh mein yoon
Koyi jhankta nahi hai
Koyi rehnuma nahi hai
Kuch soojhta nahi hai
Jo zindagi bachaate
Unko koyi puchhta nahi hai
Meri bhooli muskurahat
Tum yoon sambhal rakhna
Apna khayal rakh ke
Mera khayaal rakhna
Meri bhooli muskurahat
Tum yoon sambhal rakhna
Apna khayal rakh ke
Mera khayaal rakhna
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Bhar ke cylinderon mein
Main zindagi hoon dhota
Kaash aisa jaadu aata
Yeh khatm hi na hota
Aankhon ke saamne jo
Cheekhein nikalte hain
Woh saas ki nadi mein
Sikke khangaalte hain
Auron ke gamon se ab
Hai toot rahi chhati
Aankhein hai thaki aise
Ab ro bhi nahi paati
Mujhe de do thodi fursat
Mujhe de do ghar ka kona
Mujhe dosto se milna
Mujhe der tak hai sona
Baccho ne jaane apni
Ki ya na ki padhaai
Woh kaid hai kamron mein
Mujhko bhi na rihaai
Kaise milega rasta
Kuch boojhta nahi hai
Jo zindagi bachaate
Unko koyi puchhta nahi hai
Meri bhooli muskurahat
Tum yoon sambhal rakhna
Apna khayal rakh ke
Mera khayaal rakhna
Meri bhooli muskurahat
Tum yoon sambhal rakhna
Apna khayal rakh ke
Mera khayaal rakhna
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Chal jaanein bachayenge
Aa jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Kamzor ab na padna
Na mujhko padne dena
Jo bhi ho jaise bhi ho
Mushqil na badhne dena
Kamzor ab na padna
Na mujhko padne dena
Jo bhi ho jaise bhi ho
Mushqil na badhne dena
Andar se toote hain hum
Phir bhi chalte jayenge
Chal jaanein bachayenge
Chal jaanein bachayenge
Jaanein bachayenge
Aa jaanein bachayenge
0 Comments