Description:
Lyrics: Talhah Yunus, Talha Anjum
Music Label: Young Stunners
Lyrics:
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil mein
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chahte par dikhta nahi hoon
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon
If I were you and you were me
I would forgive you
Jaise tu ho ek surang mein
Uske end mein tujhko roshni dikhi
Thats how I see you
Khud ko meri nazar se dekh
If I were you and you were me
Main aisa toot’ta ke toot’te hain taare kya
Wo aaj bhi hai muntazir
Mukhtasir ik mulaqaat ka
Phir kabhi mil payein na
Dil doobe manzil lage door bohat
Urooj se sawaal dekhein hain noor bohat
Na tere haath mein zindagi aur na hi maut
Mere haath mein hai qalam kala aur shauq
Har khauf se azaad kardo meri zaat ko
Qismato se paak kardo mere haath ko
Jis hisaab se rakha hai dil pe bojh mere
Jaise karma peeche pada hai haath do
Gaanae gaye bohat dil dukhaye bohat
Na tumhein aye sharam na humein aye maut
Main sane hoon is minute next minute I’m psycho
Industry kare follow brands go where I go
Ye mera flex nahi hai life hai
Send my cheque mujhe baat cheet nai chahiye
I got bills mard ke alag hote kaayide
Agar kamate nai to mard to tum kaahe ke
Future dikhta nahi hai future is what I say
Wo saath khayein kehna padta nahi wo bhai the
I do or die for the gang
Bina likhat padat ke kiye huye hain ye muaayide
Saal giraha tab bhi khada tha main mic pe
Gawah yaar rawadaar mere saath
Rahe sadaa abaad ye awaaz
I rap for a purpose ye career ek cause
You expect me to be perfect
And I’m just full of flaws
Kaise likhta hoon ye verses
Kya karta hoon mehsoos
Main binna taj ka badshah got nothing to lose
I’m crossing lines just to cancel out the booze
Ab na dil se nikale aarzu
Jab se dil se nikali aaj tu
Dil tha mera gosha-e-sakoon ek
Kyun bana gayi hai isse bazaar tu
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon
Dil mein sawaal bade bichhe huye jaal bade
Meri misaal chale chahte saare chaal chale
Thappar ye gaal pe industry poori paalte rahe
Laya kitaab jo tum khol ke sirf chaapte rahe
Talwe mere chaat te rahe paisa nahi woh daat de rahe
Dekhe nahi halaat mere yaaro ne jo khwab dekhe
Poore karun aaj ab iss haath main wo aag bete
Paise main wo baat nahi jo izzat meri aaj bete
Ye imtehaan kesa sooraj nahi par chand dekha
Likhari jaan leva Urdu rap ko saans deta
Kisse ladun jung sab waqif hain ye maidaan mera
Rap meri jaan main Karachi ke liye jaan dera
Ye ladke likhte mujhe dikhte apne bars bhai
Darta nahi girne se bas dunya se naraaz bhai
Aayine ko todein yun jodte alfaaaz bhai
Lafz kyse tolte jab bhaari ye awaaz bhai
Dil mera saaaf main industry ka woh raaz bhai
Darte mujhse aaj bhi shaheen aata baaz nahi
Bhai full pachas Talha jaane khola hath nahi
Kagaz ko main aag doon pichwade inke raakh bhai
Sar apna noch rahe hum sote ve bhi soch rahe
Khwabo mein bhi apno ke khushi ke aansu ponch rahe
I ain’t a role model aaj bhi on the road aye
Underground ko laya mainstream wale shows mein
Deal hoti close uthte saath mujhe hosh nahi
Industry mere lun pe par nahi wo meri dost nahi
Rozi roti likhi upar wale ne afsoos nahi
Darte nahi hum maut se musaafir marte roz bhai
I ask God why you made fear
Sab rona chahte but we hate tears
I’m never sober but I stay clear
Samajh se bahar main jyse Shakesepeare
Arse se khayi nahi roti maa ke haath ki
Taaron ko naam dun tu dekh meri saadgi
Dushman ko bhi kaam dun kyse hogi barabari
Log meri mehnat ka phal khana chahte aaj bhi
Ye baatein nahi kagazi
Main khud ko deta daad bhai
Sach se duniya bhagti aur main sirf sach ke sath bhai
Highest in the room mujh tak pahuchenge kya khaak bhai
Har gaane ki main dhun sirf beaton se karta baat aye
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai to shikwa kare kyun
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon
0 Comments