Description:
Lyrics: Shadab Akhtar
Music Label: Zee Music Company
Ye Kaisi Rehguzar Hai
Ye Kaisi Kashmakash Hai,
Ye Kaisi Rehguzar Hai
Main Uljha Hoon, Pareshaan Hoon
Main Uljha Hoon, Pareshaan Hoon
Huyi Kya Mujhse Aisi Khata
Khuda Bhi Na Dikhe, Dua Bhi Na Lage
Jahan Tak Jaaye Nazrein,
Dhuaan Hi Dhuaan Dikhe
Khuda Bhi Na Dikhe, Dua Bhi Na Lage
Jahan Tak Jaaye Nazrein,
Dhuaan Hi Dhuaan Dikhe
Ret Ka Mahal Woh Tha,
Lehron Mein Shayad Jo Beh Gaya
Ret Ka Mahal Woh Tha,
Lehron Mein Shayad Jo Beh Gaya
Khwaahishon Ka Aashiyaan,
Chand Saansein Lekar Ke Deh Gaya
Rabba Khud Ke Hi Saaye,
Lage Aaj Paraye
Rabba Khud Ke Hi Saaye,
Lage Aaj Paraye
Main Uljha Hoon, Pareshaan Hoon
Main Uljha Hoon, Pareshaan Hoon
Huyi Kya Mujhse Aisi Khata
Khuda Bhi Na Dikhe, Dua Bhi Na Lage
Jahan Tak Jaaye Nazrein,
Dhuaan Hi Dhuaan Dikhe
Zindagi Ne Ishq Mein,
Mujhe Aise Manzar Dikhaaye Hain
Zindagi Ne Ishq Mein,
Mujhe Aise Manzar Dikhaaye Hain
Palkon Pe Meri Sada,
Ashqo Ke Badal Hi Chhaaye Hai
Rabba Chain Na Aaye, Din Rein Sataye
Rabba Chain Na Aaye, Din Rein Sataye
Main Uljha Hoon, Pareshaan Hoon
Main Uljha Hoon, Pareshaan Hoon
Huyi Kya Mujhse Aisi Khata
Khuda Bhi Na Dikhe, Dua Bhi Na Lage
Jahan Tak Jaaye Nazrein,
Dhuaan Hi Dhuaan Dikhe
Dard Ka Hai Silsila,
Seene Mein Ghum Be-Shumaar Hai
Dard Ka Hai Silsila,
Seene Mein Ghum Be-Shumaar Hai
Chaahatein Ek Mili Haan,
Mile Zakhm Mujhko Hazaar Hai
Rabba Pal Hi Mein Jaise,
Sau Khwaab Hai Toote
Rabba Pal Hi Mein Jaise,
Sau Khwaab Hai Toote
Main Uljha Hoon, Pareshaan Hoon
Main Uljha Hoon, Pareshaan Hoon
Huyi Kya Mujhse Aisi Khata
Khuda Bhi Na Dikhe, Dua Bhi Na Lage
Jahan Tak Jaaye Nazrein,
Dhuaan Hi Dhuaan Dikhe.
0 Comments