Description:
Lyrics: Ravindra Jain
Music Label: Ramanand Sagar
Lyrics:
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari
Bas Ek Raat Ki Abb Kahani Hai Sari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari
Nahi Bandhu Bandhav Na Koi Sahayak
Akela Hai Lanka Mein Lanka Ka Nayak
Sabhi Ratna Bahumulya Ran Mein Gavaye
Lage Ghav Aise Ki Bhar Bhi Na Paaye
Dashanan Ishi Soch Mein Jagta Hai
Ki Jo Ho Raha Hai Usaka Parinam Kya Hai
Ye Baaji Abhi Tak Na Jeeti Na Hari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari
Ho Bhagavaan Manav To Samjhega Itana
Ki Manav Ke Jeevan Me Sangharsh Kitna
Vijaya Antatah Dharm Veero Ki Hoti
Par Itana Sahaj Bhi Nahi Hai Ye Moti
Bahut Ho Chuki Yudh Mein Vyarth Hani
Pahuch Jaye Parinaam Tak Abb Kahani
Vachan Purn Ho Devata Ho Sukhari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari
Samar Mein Sada Ek Hi Paksh Jeeta
Jayi Hogi Mandodari Ya Ki Sita
Kisi Maag Se Usaki Lali Mitegi
Koi Ek Hi Kal Suhagan Rahegi
Bhala Dharm Se Paap Kab Tak Ladega
Ya Jhukna Padega Ya Mitna Padega
Bicharo Mein Mandodari Hai Bechari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari
Ye Ek Raat Mano Yugo Se Badi Hai
Ye Sita Ke Dheeraj Ki Antim Kadi Hai
Pratiksha Ka Vish Aur Kitna Piyegi
Bina Pran Ke Deh Kaise Jiyegi
Kahe Ram Rom Abb To Ram Aa Bhi Jaao
Dikhayo Darash Abb To Na Itana Rulao
Ki Ro Ro Ke Mar Jaaye Sita Tumhari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari
Bas Ek Raat Ki Ab Kahani Hai Sari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari
Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari.
0 Comments