Jhootha Kahin Ka - Dialogue (2019)

  • Subah ka bhoola agar shaam ko laute toh usse bhoola nahi kehte ... par shaam ka bhoola agar subah laute toh usse doodh ka dhoola bhi toh nahi kehte
  •  Aaj kal doston ke beech mein jhappiyan gayi ... pappiyan chal rahi hai
  • Saala jitna tumhara shakal badsoorat hai utna tumhara aatma kaala hai ... itna kaala ki jab tumhara shareer se tumhara aatma niklega toh surya grahan padh jayega
  • Mann mein jab jhol ho aur chaddi mein hole ho ... toh aap jitna bhi beparwah ghoomo ... duniya ko sab dikh hi raha hota hai
  • (Didi ki muskaan achhi nahi lagi aapko kabhi) - Jahan inke dimple padte hai na ... teri didi ke wahan pimple rehte the
  • Khud ka shakal bulldog jaisa hai, humko dog bula raha hai
  • Zindagi bhar itna make-up lagaya hai ki tumhara original chehra kaunsa hai, yeh bhool gaya hoon main
  • Shaadi patane ka fayda nahi ... shaadi patane ki saza hoti hai
  • Handsome logon ko bhagwan fursat mein banata hai ... tumko khunas mein banaya hoga

Post a Comment

0 Comments