Chhichhore - Dialogue (2019)

  • Tumhara result decide nahi karta hai ki tum loser ho ki nahi ... tumhari koshish decide karti hai
  •  Success ke baad ka plan sabke paas hai ... lekin agar galti se fail ho gaye ... toh failure se kaise deal karna hai ... koi baat hi nahi karna chahta
  • Sache dost wohi hote hai ... joh achhe waqt mein aapki bajate hai ... aur jab mushkil waqt aata hai toh wohi chhichhore aapke darwaze par khade nazar aate hai
  • Doosron se haarke loser kehlane se kahin zyada bura hai ... khud se haarke loser kehlana
  • Hum haar jeet, success failure mein itna ulajh gaye hai ... ki zindagi jeena bhool gaye hai ... zindagi mein agar kuch sabse zyada important hai ... toh woh hai khud zindagi
  • Pata nahi kya jaadu hai college life mein ... jahan anjaane milte hai aur dost ban jaate hai ... zindagi bhar ke liye ... aur aise waise dost nahi ... kutte dost
  • Yeh kaam bhi kitni chalu cheez hai na ... jab kaam ko time chahiye hota hai toh family adjust karti hai na ... aur jab family ko time chahiye toh kaam ko toh adjust karna padega

Post a Comment

0 Comments