Bharat - Dialogue (2019)

  • Aksar log mujhse poochte hai ki mera surname kya hai, jaati kya hai, dharam kya hai ... aur main unse muskurake kehta hoon ... ki is desh ke naam pe mere bauji ne mera naam Bharat rakha ... ab itne badhe naam ke aage jaati, dharam, surname lagake na toh apna aur na hi is desh ka maan kam kar sakta hoon
  • Jitne safed baal mere sar aur daari mein hai ... usse kahin zyada rangeen meri zindagi rahi hai
  • Yeh sher boodha zaroor ho gaya hai ... lekin shikaar karna nahi bhoola
  • Har muskurate huye chehre ke peeche ek dard chupa hota hai ... aur shayad wohi dard aapko zinda rakhta hai
  • Kuch rishtey zindagi se hote hai aur kuch rishtey khoon se ... mera paas dono hi the
  • Logon ka yeh maanna hai ki duniya mein sirf saat kahaniyan hai ... lekin main yeh maanta hoon ki duniya mein jitne log hai utni hi kahaniyan hai
  • Desh logon se banta hai aur logon ki pehchan unke pariwar se hoti hai
  • Yeh desh vishwas aur insaaniyat ki neev par khada hua hai ... ho sakta hai waqt is desh ke beech mein lakeer kheench de ... lekin jab tak yeh lakeer is desh ke rehne walon ke dilon mein nahi kheenchegi na ... tab tak hum ek rahenge 

Post a Comment

0 Comments