Description:
Song: Vyanjan
Singer: Kr$na
Lyrics: Kr$na
Music: Kr$na
Music Label: Kalamkaar
Lyrics:
Singer: Kr$na
Lyrics: Kr$na
Music: Kr$na
Music Label: Kalamkaar
Lyrics:
K – kale kartoot karte kaminey kamane ko
Kaledhan ke karand, kanagaal kiya, kitne kisaano ko
Kahon kasoor kiska, katle aam ke kabil kaun?
Krishna ka kalam katil, kitne kagazon ko kaatein kaun
Kaledhan ke karand, kanagaal kiya, kitne kisaano ko
Kahon kasoor kiska, katle aam ke kabil kaun?
Krishna ka kalam katil, kitne kagazon ko kaatein kaun
Kh – khooni khel khele khalnayak, khilaadi khaas
Khojeh khad mein khazana, khatarnaak khayalat
Khokli khatirdaari, khoon kharaba, khub khatre
Khubsurat khamoshi ya khalbali ki khabren?
Khojeh khad mein khazana, khatarnaak khayalat
Khokli khatirdaari, khoon kharaba, khub khatre
Khubsurat khamoshi ya khalbali ki khabren?
G – galtiyan gambhir, gamgeen gaana gayenenge
Gali gali garibi, gaddaar gadi gawainenge
Gussa, gali galoch, gunehgaar ko giryaenge
Gaon mein gatirodh, gun ki goliyan ginayenge
Gali gali garibi, gaddaar gadi gawainenge
Gussa, gali galoch, gunehgaar ko giryaenge
Gaon mein gatirodh, gun ki goliyan ginayenge
Gh – ghadi ghadi ghusteh ghuspethi, ghamand ghatayen
Ghati ghumaasan ghatna, ghar pe gharwaaleh ghabrayen
Ghatiya ghooskhori ghaploh peh ghursavaar
Ghar ke ghanisht hai gherai mein ghariyal
Ghati ghumaasan ghatna, ghar pe gharwaaleh ghabrayen
Ghatiya ghooskhori ghaploh peh ghursavaar
Ghar ke ghanisht hai gherai mein ghariyal
Ch – chor chahe chanda, chori chupke chaleh chaal
Chaukanneh chaukidaar ne chipkaye chaatein chaar
Kya chandu ke chacha ne
Chandu ke chachi ko
Chandi ke chamach se
Chatni chata ke kiya hai chamatkaar?
Chaukanneh chaukidaar ne chipkaye chaatein chaar
Kya chandu ke chacha ne
Chandu ke chachi ko
Chandi ke chamach se
Chatni chata ke kiya hai chamatkaar?
Cha – chupke chupke chora chori chake churaateh
Choti choti chatpatahat sunke chat peh chup jaate
Choteh chatr kare cherkhani, toh chat se padi chari
Chokra churi cheeneh, chupke dekhe chor ki chavi
Choti choti chatpatahat sunke chat peh chup jaate
Choteh chatr kare cherkhani, toh chat se padi chari
Chokra churi cheeneh, chupke dekhe chor ki chavi
J – jaanab lajawab, jubse jiyeh hai junam
Jai javan, jinke jeevandaan se jeeteh jang
Janwar jinki jaati jangli, jaali jinki jaat
Jai javan, jinke jeevandaan se jeeteh jang
Janwar jinki jaati jangli, jaali jinki jaat
Jh – jhela jo jhamela, jhootah jhooki jiski jhaank
T – talli tehle toli, takrate tooti taang
T.i taangeh tedi topi, takla tha 2pac
T.i taangeh tedi topi, takla tha 2pac
Th – thulleh thet, thuggi thekedaar ko therata
D- daku daaleh daka, daily daant ke darata
Damadol, drama, darpok durke dagmagata
Damadol, drama, darpok durke dagmagata
Dh -dhakan dheela, dhang se na dhake, toh bin dhakele dhaljaata
T – takleefen tujhe tarpaati, tammana teri tori
Takdeer ke taaleh todo, tabiyat tagdi teri tobhi
Tabhi toh tapteh talveh, tubhi se tanhaee
Tanashai mein machai, tamanche se tabahee
Takdeer ke taaleh todo, tabiyat tagdi teri tobhi
Tabhi toh tapteh talveh, tubhi se tanhaee
Tanashai mein machai, tamanche se tabahee
Th – thora thora thulthula, thak ke thaila thamaamata
Thaaneh mein thapar pareh toh thora thora thartharata
Thaaneh mein thapar pareh toh thora thora thartharata
D – devta darbaan duniya ke khole darwaazen
Dillii-waaleh dabang, dagabaazon ko dafnaateh
Dillii-waaleh dabang, dagabaazon ko dafnaateh
Dh – dharna dharamshaala mein, dhuendaar dhamaka
Dhandhli dhundle dhandeh mein, dharadar dhoom dhadaka
Dhandhli dhundle dhandeh mein, dharadar dhoom dhadaka
N – nirash nagrik nalayak neta se naraz
Nainsaafi ka naash, nawab nishaanehbaaz
Nainsaafi ka naash, nawab nishaanehbaaz
P – peene pe pabhandi patna mein pakde toh panga
Paaji pehne pagdi, punjab mein pade panja
Pakistan ke padosi pareshaan, tobhi
Pistaul pakde pathan, parinaam, paar pahaunche
Paaji pehne pagdi, punjab mein pade panja
Pakistan ke padosi pareshaan, tobhi
Pistaul pakde pathan, parinaam, paar pahaunche
F – fasah fakir, failake faasaad, firbhi faraar
Flihal, faujiyon ne kare fatehaal
Flihal, faujiyon ne kare fatehaal
B – bangal mein bawal, bache baal baal
Burehaal bahar, behmisal baad
Barkaraar bhaar
Burehaal bahar, behmisal baad
Barkaraar bhaar
Bh – bhare bhrashtachaar ke bhagidaar
Bhagodo ki bharmaar, bhari bharkam bhedchaal
Bhagodo ki bharmaar, bhari bharkam bhedchaal
M – man mein mazbooti, majboori mein mazdoori
Mera mantri man se moody
Magar mantri banke mantripadh mein maala maal
Mera mantri man se moody
Magar mantri banke mantripadh mein maala maal
Y – yaara, yaad, yacht mera yatayaat yashodhan
R – raaton raat, rachata raas
Ranbhoomi se ravana rajputana raaja bhaga
Rajasthan ke registaan mein ret, insaan ho jaata raakh
Ranbhoomi se ravana rajputana raaja bhaga
Rajasthan ke registaan mein ret, insaan ho jaata raakh
L – loot ke lekar lakri laaya, lalchi lakarhaar
Ladki lajawaab, lakhon ladti lagataar
Ladki lajawaab, lakhon ladti lagataar
V – vardi vaale veer, voh vatan ki vafadaari
Vaise vartamaan mein varnbhed, vinashkaari
Vilambh kare vipakshee, voh varisht vakil
Vaise vartamaan mein varnbhed, vinashkaari
Vilambh kare vipakshee, voh varisht vakil
Sh – shaitaan shaana shikaari, shakal se sharif
Sh – shatkun, shadiyantra
S – sapneh sanjiv
Sangathan ke saathi seekhen, sureela sangeet
Sangathan ke saathi seekhen, sureela sangeet
H – har hafte hote hatyakaand, hazaron hare hausle
Hartal humara haq, humara humrahi hip hop hai
Hartal humara haq, humara humrahi hip hop hai
Ksh- kshatriya
Tr – trishool
Gy- gyani
Aur samapt huyi hamari kahani.